Hayya ala khayril amal
- Shababul Momeneen (2009)
Hayya ala khair al amal, Hayya ala khair al amal,
Ye sada Mehdi ki hai, Hayya ala khair al amal,
Aa bicha farsh e aza, ae kehney walay Al Ajal
Al ajal kehna hai to, phir de sadaa tu Ya Hussain,
Girya o matam hi bas, ghaibat mein hai mera amal,
Jo sada hal min ki hai, wo mere jadd ki hai sada,
Karbala hai qafla, aa qafilay ke saath chal,
Kullo yaumi’n ashura, kullo arrz’n karbala,
Ajj hai ye karbala, aur shaam ka bazaar kal,
Pyaasey pe yalgaar hai, aur teeron ki bochaar hai,
Khaimay ke dar pe behen, aae mangti hai ajal
Us ka laasha hogaya, ghordo’n se haye paaimal,
Asar tak jis ne kiya, laashey uthaaney ka amal,
Kis tarhan poncha hai wo, haye naujawan ki laash par,
Is ke seeney se juda, kaisey kiya naizey ka phal,
Yaad rakheygi, Ali Asghar tujhe ye kainaat,
Teer tha jis haath mein, haan kardiya tu ne wo shal,
Le Navaid is sar pe le, in matami qadmo’n ki khaak,
Tu bhi paayega shifa, Iss khaak ko chehre pe mal,
Hayya ala khair al amal, Hayya ala khair al amal,
Ye sada Mehdi ki hai, Hayya ala khair al amal,
Aa bicha farsh e aza, ae kehney walay Al Ajal