Mai safeer-e-hussain hu

- Shadman Raza (2010)


 Safeer e Hussain *2

Muslim e Aqil hun Safeer e Hussain hun

Baatil ka khauf e haq se kaleja laraz utha
Bas ek sada se hakim e Koufa laraz utha
Ehsas e qalb e haq hun zamir e Hussain hun
Mein aashiq e Ali hun asseer e Hussain hun
Zainab ka intekhab mushir e Hussain hun
Pehchan lo mujhko mein Safeer e Hussain hun

Mein Safeer e Hussain hun *9

Muslim e Aqil hun mein jaan le jahan
Ashjaul Arab kahe zamin o aasmaan
Hashmi wirassaton se azm hai jawan
Haydari shujaa atein lahoon me hai rawan *2

Mein waqt ka hissar hun
Mein noor ki bahaar hun
Zamin ka ikhtetaar hun
Falaq ka iftekhaar hun
Mein ishq ka shear hun
Wafa ka etebaar hun
Dua ka ikhtayar hun
Mein sheh ka jaan nisaar huuun
Mein safeer e Hussain huuun
Mein Safeer e Hussain hun *3

Etemaad rakhta hai Ali ka Noor e Ayn
Ki mujhe Imam ne sipaaraton ki zayn
Sar pe hai mere duaa e Shah e Mashraqayn
Mein akela zaat me hun lashkar e Hussain *2
Mein hosle ki jast hun
Wafa e haq parast hun
Mae wila se mast hun
Mein deen ka bandobast huuun
Mein etebaar e hast hun
Mein har hissar e dast hun
Mein Koufa e zamir me
Yazid ki shekast hun
Mein safeer e Hussain hun
Mein Safeer e Hussain hun *3

Yeh gulaam e Shah deen e haq bataaega
Sheh ka sath dega joh falah paaega
Jang karega mujhse joh maat khaaega
Tegh se meri na koi bachke jaaega *2
Mein daur e inqelaab hun
Mein tegh ka shabab hun
Mein nusraton ka khwab hun
Mein khoon ka hissab hun
Mein ilm ki kitab hun
Mein jehl par azab hun
Hussain ki hassin sifaaraton ka intekhab hun
Mein safeer e Hussain hun
Mein Safeer e Hussain hun *3

Aa raha hun chum kar qadam Imam ka
Haat me baland hai alam Imam ka
Leke aa raha hun main bharam Imam ka
Koufiyon pata hai tumko gham Imam ka *2
Zindagi hai tashna kaam
din ka kab hai ehteram
Qatl o khoon hai aaj aam
Mushkilon me hai Imaam
Tchor kar wafa awaam
Khwahishon ki hai ghulam
Joh bhi hai mera kalaam
Hai Hussain ka payaam
Mein safeer e Hussain hun
Mein Safeer e Hussain hun *3

Gaybat e Imam me ho aisa intezaar
Ilm par yaqeen ho amal pe etebaar
Naassiraan e haq ka phir se hona hai shumar
Muntakhib safeer hoga kaun ab ki baar *2
Agar ho sawm aur salat
Hajj o khums aur zakat
Amr aur nahi ki deen e haq me sari mumkinaaat
Ho Hussain hi Hussain
Bhul jaaen apni zaat
Ilm pe yun amal kare
To keh saken ham yeh baaat
Mein safeer e Hussain huuun
Mein Safeer e Hussain hun *3

Muslim e gharib ne kiiya hai jab kalam
Marte dam nassib ho ziyarat e Imam
Karbala uthi kiya hawaon par qayaam
Dekh kar Hussain kar kaha hai as salam

As salamo alayka ya Aba Abdillah
As salamo alayka yabna Rassulillah

Tchur tchur jism hai jigar hai paash paash
Hai kahan pisar mere kahan karun talaash
Qatl kar ke le tchale hain mujhko madgumaash
Maut ke bhi baad hai safar me meri laash
Mein Safeer e Hussain hun *3

Nazim aur Razi ki tarz sab se hai juda
Jaffar aur Bakhsh Bhay aur Ali Ziya
Javedaan hai lehja ab bhi Sach bhayi ka
Ham hai tifl e maktab aur yeh asaatza *2
Yeh hai aza ka kaarvaan
Yeh hai lehen ki kekkeshaan
Yeh lehja o khayal me gham e hussain ki azaan
Yeh Karbala ki dastaan
Yeh zikr sheh ka sayebaan
Azim hai joh nawhakhwan unhi ka hun mein tarjumaan
Mein Safeer e Hussain huuun
Mein Safeer e Hussain hun *3

Rizwaan Farhaan sab hi hain nawha gar
Nassir o Shujah aur Ali Safdar
Shadmaan Shahid o Nadeem Sarwar
Sab ke sab ki eik hi sada hai yeh Qamar *2
Mein hun aza ke pakhsh par
Mein hun dilon ke arsh par
Mein majlisson me nawha gar
Majliss aur Julus me hun jalwa gar
Gali gali nagar nagar
Mein aansuon ka hamsafar
Mein puri qayenat me Hussain ka payaambar
Mein safeer e Hussain hun