Qur'an pe teer chala

- Murtuza Ali (2015)


Asgar pa chala yane quran pa teer chala

1. Hatho pe hai sarwar ke shahkaar imamat ka
Imra'n sa muhafiz hai tauhid o risalat ka
Maqtal me us hi nanhe imran pa teer chala

2. Allah ne farmaya hai sab ke liye pani
Phir aale mohammed kyu haye na piye pani
Ashur ko khaaliq ke farman pa teer chala

3. Cheh maah ke sin par hai khud nuh ka sin kurbaa
Woh sabr hai bachpan me yakub bhi hai giriya
Duniya ye samajti hai nadan pa teer chala

4. Bachpan ki adaae thi har aan ali jaisi..
Gehware mae asghar ki thi shaan ali jaisi ..
Qaba bhi laraz uttha jab shaan pa teer chala

5 Q uran hua hai para kabe ka sutu'n hai kham
Jibreel ke nauhe par jannat me hua matam
Jis waqt ke maula e rizwaan pa teer chala

6. Kehti hai umme rubab kaise mai jiyu beta
Khu'n mujko rulata hai khali tera gehwara
Jangal me mere nanhe sultan pa teer chala

7. Asghar ki shahadat ka qonain ko sadma hai
Karbal ke fizao me "Haameed" yeh nauha hai
Haye mere shishmah e mehman pa teer chala