Waris e kausar
- Murtuza Ali (2015)
Waris e kausar ko katra aab ka milta nahi.
Kya likhu quran e ghum ka tarjuma milta nahi.
1.Do ilaiya ki sada beti ko apni shahedee'n.
Laasha e be sar ka bachchi ko pata milta nahi.
2.baap ka sar kyu'n dekhate ho satane ke liye
Uff yateema ko suku'ne dil zara milta nahi
3.boli ye rokar sakina saiyad e sajjad se.
Dee'n bachane ka kisi ko ye sila milta nahi.
4. Khu'n bhara sar dekh kar zindaa'n me beti ne kaha
Yu kisiko sar lahu me baap ka milta nahi
5.Kamsini me binte sheh ne zulm Kitne sehliye.
Dar ki duniya me aisa saaniha milta nahi
6.kyu kare abid talab unse kafan hamsheer ka.
Jinse kuch bhi taziyano ke siwa milta nahi
7.jab mile asbaab to zainab se ye boli rubaab.
Dukhtar e shabbir ka kurta jala milta nahi
8.waasta bali sakina ka agar dekar "Raza"
Hazrat e abbas se maango to kya milta nahi