Seene me sina hai
- Waseem Rizvi (2007)
Dekho na idhar baba , seene mai(n) sina hai
Dil tod ke rakh dega woh dard e gira(n) hai x 2
Tute huwe naize ne dhayee hai ajab Afat
Woh dard ki shiddat hai , ek pal ko nahi rahat
Is dard ki shiddat to , chehre se Ayaa(n) hai
Seene mai(n) sina hai..................
Dekho na idhar baba .................. 2
Bete ki judayee ko mushkil ho bohat sehna
Jo beet gayee mujh par Amma(n) se nahi(n) kehna
Saabir hai bohat lekin ,haa(n) phir bhi woh maa(n) hai
Seene mai(n) sina hai..................
Dekho na idhar baba .................. 2
Kiya tum se kahoo(n) baba , ek saa(n)s bhi mushkil hai
Tutaa hai jaha(n) naiza , bas mera wahi(n) dil hai
Yeh dil to mere baba ,sughra ka makaa(n) hai
Seene mai(n) sina hai..................
Dekho na idhar baba .................. 2
Mauqa jo ajal de de , ek lamha sukoo(n) pawo(n)
Chhehre ki ziyarat se mehroom na reh jao(n)
dhoo(n)dhla sa hai har manzar, har cheez dhuwa(n) hai
Seene mai(n) sina hai..................
Dekho na idhar baba .................. 2
Sarwar ne kaha beta kuch haal to batlaao
Tuti hai kaha(n) barchhi is baap ko dikhlaao
Akbar ne kaha baba , ye haath ajaha(n) hai
Seene mai(n) sina hai..................
Dekho na idhar baba .................. 2
Mehsoos ye hota hai , har simt hai tareeqi
Aati hai sada mujh ko bas airhi ragharne ki
Aankho(n) mai(n) meri beta be noor jaha(n) hai
Seene mai(n) sina hai..................
Dekho na idhar baba .................. 2
Raftaar zamane ki hairat mai(n) rahi jakrhi
Mazbooti se sarwar ne naize ki Ani pakrhi
Kiya guzri dile sheh par ye raaz nihaa(n) hai
Seene mai(n) sina hai..................
Dekho na idhar baba .................. 2
Be sakhta yaad Aaya hamshakle nabi Akbar
Ik dard sa uthta hai , Aawaz e Azaa(n) sun kar
Lagta hai “faseel” Abtak seene mai(n) sina hai
Seene mai(n) sina hai..................
Dekho na idhar baba .................. 2