Ya Ameeral Momineen Ya Imamal Muttakeen
- Ali Safdar (2012)
(Ya Ameeral momineen Ya Imamal muttakeen)-3
Fir zamane ke yazido ne uthaya apna sar,
Ban gayi hai ye zamee(n) zulmo-sitam ka ek nagar,
Har taraf insaniyat hai be sahara dar-ba-dar,
Tang hoti jaa rahi hai har Hussaini par zamee(n)
Ya ameeral ........... -3
Zulmo istakbaat ke har simt badal cha gae,
Kitne hi peero jawa jaame shahadat paa gae,
Apne marne ki ada se zulm ko dehla gae,
Ya Ali virde zuba hai afree(n) sad afree(n)
Ya ameeral .......... -3
Jurm hai sab se bada sheh ki azadari yaha,
Matame shabbir se hum log rukhte hai kaha,
Ye duae de rahi hai hath utha kar koi maa,
Me shifa'at ki hu zamin hashr me rakho yakee(n)
Ya ameeral .......... -3
Meesame Tammar ka kirdar hona chahiye,
Milato khwabidato bedar hona chahiye,
Baccha baccha kaum ka tayyar hona chahiye,
Maut dulhan se bhi jada ho nigaho me hasee(n)
Ya ameeral .......... -3
Dushmane deene khuda aamadae paikar hai,
Parchame Abbas ka saya hame darkar hai,
Ya Hussain-o- ya Ali sab se bada hatyaar hai,
keh uthe ahle falak haa hai yahi ansare dee(n)
Aye shehen shahe Najaf aye kul ke maula al-madad,
Aap ko Allah ne waris banaya al-madad,
Aap se badkar nahi koi hamara al-madad,
Aap ke dar par gulamo ne jhuka di hai jabee(n)
Hasrate deedare Kayam me jeeye jaate hai hum,
Jame hujjat hasrate Mehdi peeye jaate hai hum,
Aye Zafar ab ye dua payhak kiye jaate hai hum,
Warise Haider tera deedaar ho jaye kahi.