Abbas tere baad

- Meesum Abbas (2015)


Haye abbas - 4

Abbas tere baad sitam ye bhi hua hai
Abbas sitam ye bhi hua hai

Masoom sakina ka bhi rassi me gala hai

Abbas tere baad sitam ye bhi hua hai
Abbas sitam ye bhi hua hai

Kis haal me haaye hai bhare ghar ki dulaari
Khaati hai tamache shahe mazloom ki pyaari
Hoton pe faqat x 2 haaye chacha haaye Chacha hai

Che maah ke asgar ne sitam kitne uthaaye
Nanhi si lahad khod ke sar kaata hai haaye
Do baar x 2 laaeno ne ise qatl kiya hai

Gardan me gara tauk hai aur paao me langar
Is haal me kaato pe chalate hai sitamgar
Beemar ko x 2 haasil na dawa hai na giza hai

Har saas aziyat hai aziyat hi aziyat
Har gaam qayamat hai qayamat hi qayamat
Zainab ko x 2 mayassar na amaari na rida hai

Shaano me mere rassiya kuffar ne daali
Sadqe ki khajure bhi meri samt uchaali
Sadaat pe x 2 kya waqt qayamat ka pada hai

Aabid ka koi haath batane nahi aaya
Tanha hi sakina ke janaze ko uthaya
Har saas pe x 2 sau baar wo mar mar ke jiya hai

Wo chaalo bhare paao wo kaato bhari raahe
shabbir ke maqsad pe hai aabid ki nigahe
Zanjeer ka x 2 shikwa hai naa durro ka gila hai

Dil hai ke sambhalta hi nahi meesumo fakhri
Mausam ye badalta hi nahi meesamo fakhri
Barsaat hai x 2 ashko ki to maatam ki ghata hai