Haaye beemar

- Meesum Abbas (2015)


haaye beemar x 2

Haaye beemar mera bediyo wala bhaiyya x 2

Haa yateemi me mere naaz uthata bhaiyya

Haaye beemar mera bediyo wala bhaiyya x 2

1. Raahe purkhaar me kuch mujko aziyat na mili
Sehli takleef to lekin meri gardan na khichi
Bas yahi soch ke phir sar na uthaya bhaiyya

2. Payr jalte the mere bhai ke har gaam magar
Dhup me jalti zameen per mai kadam rakhti jidhar
Apne saaye se waha saaya banata bhaiyya

3. Jab tamache muje lagte to wo ruk jaata wahi
Chhod kar mujko use durre lagate the laeen
Durre khud khaake muje unse bachata bhaiyya

4. Seenae shah pe sone ki sada aadi thi
Zakhmi rukhsar zameen per nahi rakh paati thi
Haaye zakhmi seene pe muje apne sulata bhaiyya

5. Qabr ki tarha se taarik tha zindaane jafa
Mujko zindaan ke andhero se jo dar lagta tha
Apne ashko se waha karta ujaala bhaiyya

6. Baat bas meesumo salman ye ehsaas ki hai
Yu dua karti thi shahzaadi rihaayi ke liye
Kaise haatho se bandhe qabr banata bhaiyya