Azadari na chhodenge

- Meesum Abbas (2013)


labbaik ya hussain
labbaik

azaa ka dushman hai gar zamaana to ham hussaini hain yaad rakhna
sada rahegi sadaa e maatam bahega sailaab aansuwon ka
mitaa na paayegi ham ko dunya hai saath apne dua e zehra

labbaik

dua e fatema hai girya o zaari na chorenge
ham apni jaan de denge azaadaari na chorenge

na hoti gar dua e fatema phir ham kahaan hote
agar ye gham nahi hota to ehle gham kahaan hote
janaabe sayyada ki farmabardaari na chorenge

ham apni jaan de denge azaadaari na chorenge

kabhi bhi kaarwaane nusrate sheh ruk nahi sakta
hamaara sar kate kat jaaye lekin jhuk nahi sakta
ali ke maan ne waale hain khud daari na chorenge

ham apni jaan de denge azaadaari na chorenge

zamaane ko sabak sikh laagaye karbobala waale
sitamgar ki himaayat kar nahi sakte khuda waale
kisi mazlum o bekas ki tarafdaari na chorenge

ham apni jaan de denge azaadaari na chorenge

khuda ka din baaqi mustafa ki shaan baaqi hai
hussaini majlison se jazba e imaan baaqi hai
rakhenge masjidein aabaad dindaari na chorenge

ham apni jaan de denge azaadaari na chorenge

bataayenge sabhi ko daastaan pyaas aur paani ki
sabeele aab hogi yaad me ashnadahaani ki
ali asghar tumhaari naaz bardaari na chorenge

ham apni jaan de denge azaadaari na chorenge

labe shabbir pe soya paher ki pyaas ke sadqe
hame sab kuch mila hai parchame abbas ke sadqe
khuda ne haath bakhshe hain alamdaari na chorenge

ham apni jaan de denge azaadaari na chorenge

ek aysa bewatan jiska janaaza bhi nahi uttha
wo arze karbala aur bekafan shabbir ka laasha
qasam khaate hain hargiz taazya daari na chorenge

ham apni jaan de denge azaadaari na chorenge

ham ek din maqsade karbobala sab ko bataa denge
hussaini hain yazidiyat ko dunya se mita denge
kabhi islaam ke dushman se bezaari na chorenge

ham apni jaan de denge azaadaari na chorenge

sada mesum ke hothon par rahe shabbir ka nauha
kalim hoti rahe is tarha tiskeene dile zehra
bapa maatam rakhenge girya o zaari na chorenge

ham apni jaan de denge azaadaari na chorenge
labbaik