Bazar hai patthar hai zainab ka khula sar hai

- Miscellaneous (2014)


Bazar hai pathar hain zainab ka khula sar hai
Har zakhm pey shukrana zainab kay laboon per hai


Ek girya e khooni ki jaati hi nahi laali
Sajjad ki ankhun ko daikha hi nahi khali
Ya khoon hai ankhun main ya sham ka manzar hai

Latka dar e koofa pey daikha hai koi lasha
Kyun ch'oub sy mehmil ki zainab nay hai sar maara
Ay bakht lahuu sy kyun zainab ki jabeen tarr hai

Yeh shour e buka kiya hai matam ki sada kia hai 
Tauheed bachae jo woh karb o bala kiya hai
ya hai sar e sarwar ya zainab teri chadar hai

Yeh sham e gareeban sy pur haul bayaban tak
Bazaar sy kofa tak darbar sy zindaan tak
Beyreham tamachay hain aur shah ki dukhtar hai

Takrati hai sar apna jae tu kahan jae
Masoom sakina ko ghash ae kay maut ae
Jiskay liye zindaan main bus khaak ka bistar hai

Woh qal'b thay kaisay jo jan lay gae sarwar kii
Pathar to woh hai jisnay pathar ki haya rakhi
Ae Sang e Halab tujhko kaisay kahuun pathar hai

kyun hai hussaina ka ik shour sa uthta hai
sar Ghazi ka naizay sy kyun khaak pey girta hai
Ghazi ki behan shayad balway main khulay sar hai

Maqtal nay khuda janay kia ch'een lia iska
Ek haath kaleejay per rehta hai dhara jiska
Lagta hai mujhy shayd yeh madar e akbar hai

Ek karb o bala awal ek kar o bala akhir
Kehtay hai naveed usko shabbir jo hai zahir
Aur jo pas e parda hai woh zainab e muztar hai.