Bichaao farshe aza mai zarur aaungi
- Meesum Abbas (2015)
Bichaao farshe aza mai zaroor aaungi
Har ek gham se bacho hussain hussain karo
Bichaao farshe aza mai zaroor aaungi x 2
Tumhare ashko ko mai saath leke jaaungi
Bichaao farshe aza mai zaroor aaungi x 2
1. Wo jin gharo me azakhanae hussain saja
To un gharo me rahega sada qayaam mera
Ye mera wada
Ye mera wada hai har haal me nibhaaungi
2. Shabihe jhulae asgar sajayenge jo bhi
To unki godiya khaali nahi rahengi kabhi
Mai unko sadqae besheer de ke jaaungi
3. Alam bayade alamdar jo uthaayenge
Diler aur wafadar honge wo bacche
Mai unke dilse har ek khauf ko mitaaungi
4. Haa wo yateema jo tarikiyo me thi har dam
Charaag yaad me uski jala ke rakhna tum
Mai us yateemae shabbir ko bhi laaungi
5. Thi ek bahan jise armaan reh gaya tha kabhi
Jo ho sake to saja lena ek sehra bhi
Mai ashke fatema sughra na bhool paaungi
6. Mere hussain ka tabooto taziya rakhkar
Karoge giryao matam rahoge nauhagar
Mai apne ashko se taboot wo sajaaungi
7. Bataya jafare sadiq ne waise hi rona
Chupa ke aasu na shabbir pe buka karna
Karungi mai bhi buka ashke gham bahaaungi
8. Jo haq hai purse ka is tarah se ada karna
Salamo soz padho aur marsiya padhna
Mai iska ajr tumhe hashr me dilaaungi
9. Payam meesumo salman pohche ye sab tak
Bahisht me na chale jaaye matami jab tak
Qasam hussain ki x 2
Qasam hussain ki mai khuld me na jaaungi