Aayi zehra ki sada
- Shahid Baltistani (2015)
Fatima zahra..(2)
Zahraa..
Fatima zahra..(2)
Sayyeda tahera..(2)
Sayyeda..
Ya ghareeb ya husain..(6)
Aai zahra ki sada pyasa hai bacha mera shimr khanjar na chala..(2)
Jurm kya isne kiya
Kuch to kar khaufe khuda
Mujhpe ye zulm na dha..
Aai zahra ki sada..
1. Ghar jalaya, mere mohsin ko bhi mara tumne
Zeher shabbar ko pilaya tumne
Meri beti ke liye
Hai nigehbaan bacha
Aakhri beta mera
2. Soch kar neend me ye pyaas se jaage na kahi
Paani lekar mau khadi rehti thi
Kis tarah dekhe ye maa
Tu sirhane pe yaha
Leke khanjar hai khada
3. Mera bacha jo sue khaima nazar karta hai
Yaad abbas use aata hai
Zere khanjar bhi yahi
Iske lab par hai sada
Haaye zainab ki rida..hayy
4. Mai sakina se tujhe maang ke laadungi gauhar
Lele sab ehle haram ke zevar
Maa ka phat-ta hai jigar
Itni tauheen na kar
Payr seene se hata
5. Haath pyase ki na gardan se hatayegi ye maa
Apne bache ko bachaegi ye maa
Ab nhi fikr mujhe
Haath kat jae mere
Katne dungi na gala
6. Baad maa ke jo behen shaah ki maa jaisi thi
Jis ghadi khaime se wo nikli thi
Khushk tha sheh ka gala
Zere lab itna kaha
Jaa behen khaime me jaa
7. Qatl madar hui, hamsheer bhi, beti bhi hui
Jab churi shaah pe akbar ki chali
Kya qayamat tha sama
Tanha mazloom kahan
Qatl khanjar se hua
Ya ghareeb yaa husain..(2)