Soja mere Hussain

- Shahid Baltistani (2011)


dunya may jab zahoor hua tha hussain ka
har waqt apne godh may rakhti thi sayyeda
lori sunaye maa to wo sota tha laadla
muddat ke baad phir sare maidane karbala

zehmat hussain ke liye maa ne uthaayi hai
lori sunane bete ko turbat se aayi hai

lori samajh ke aaj tu maadar ki siskiyan
soja mere hussain

1) kis tarha rehti fatema zehra mazaar may
baba se pooch haal tere intezaar may

maqtal ke aake baithi kal shab se teri maa
soja mere hussain....

2) aaghosh may meri tera sar hai rakha hua
kitne dino ke baad ye mauka mujhe mila

yaad aa raha hai teesri shaban ka saman
soja mere hussain....

3) ay laal apni zaat may khud karbala hai tu
laashe utha utha ke bahot thak gaya hai tu

kuch dayr maa ki godh may aaram se yahan
soja mere hussain....

4) aankhein tadap ke kholta hai kisliye bhala
akbar ki shakl phirti hai nazron may teri kya

bete ka dard kya hai ye bas jaanti hai maa
soja mere hussain....

5) mai jaanti hoo ye meri lori hai aakhri
soyega aaj tu to na jaagega phir kabhi

is dil se pooch kis tarha deti hoo loriyan
soja mere hussain....

6) saqlain gehri neendh wo us waqt sogaya
lori ke darmiyan wo madar ne ye kaha

dekha na tujhse jaayega zainab ka kaarwan
soja mere hussain...