Jab piyo pani
- Ali Safdar (2015)
Husain Husain (4)
Mazloom Husain beykas Husain
Pyaasey Husain aaqa Husain
Shiyati Maa in sharibtum ma'a azbin fazkurooni (2)
Aw samiyatum Bey gareebin aw shaheedin fandobuni
Daaman e sabr o wilaa dast e wilaa mey thaamlo
Parcham e abbas key saaye mey Har in'aam lo
Tishnagaan e karbalaa pey zindagi ka jaam lo
Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)
Ya Husain Ibne ali (4)
1) tum azadar e Hussaini sogwaar e Karbala
Maut Bhi kya cheez Jo rokey tumhaara raasta
Dhoop mey haasil hai saaya parcham e abbas ka
Haath maatam ko uthaawo aur wafa se kaam lo
Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)
Ya Husain Ibne ali (4)
2) Yaad rakhna WO tabassum asgar e beysheer ka
Hausla todaa hai jisney hurmala key teer ka
Bey zabaani mey tha jiski maujza taqdeer ka
Aao us bachey se ab tarbiyyat e islaam lo
Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)
Ya Husain Ibne ali (4)
3) chaadar e zainab bayaa kartey raho taqdeer mey
Zulm ki gardan ko rakhkho zikr ki zanjeer mey
Inteqaam e Karbala ho seena e shamsheer mey
Ashq e ghum ki nazr deykar quld ka in'aam lo
Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)
Ya Husain Ibne ali (4)
4) zulm ney sab kuch kiyaa lekin huwa kuch Bhi nahi
Zindagi zauq e shahaadat ke siwaa kuch Bhi nahi
Deen Jo Bhi naa siwaaye Karbala kuch Bhi nahi
Karbala waalo sey jeeney ka sabaq Har gaam lo
Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)
Ya Husain Ibne ali (4)
5) nusrat e dee'n key liye kaisey nikalnaa chaahiye
Raahey deen e mustafa pey kaisey chalna chaahiye
Kis tarha taqdeer e aalam ko badalna chaahiye
Karbala se hazrat e Shabbir ka paigaam lo
Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)
Ya Husain Ibne ali (4)
6) inteqaam e Karbala ki hai sadaaye Al hazar
Goonj se jiskey jahaa mey hil rahey hai baam o darr
Muntazar ko dhoondti hai Har mujaahid ki nazar
Ab imam e waqt ko aawaaz do anjaam lo
Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)
Ya Husain Ibne ali (4)
7) Karbala hai kushta e Shabbir hai aur hum abad
Zindagi badhtey rahey kartey raho maatam abad
Qaas neymat hai ataa e sayyada ye hum abad
Baargaah e sayyada se khuld ka in'aam lo
Jab piyo paani Husain Ibne ali ka naam lo (2)
Husain Husain (2)