Aqraba kat gae jab shah ke bari bari
- Shaheed Sibte Jafar (2014)
Akraba kat gae jab shah ke baari baari – 2
Aur adam chalne ki us shah ne ki tayyari
Khaime ka parda utha, zainulleba ek baari
Dekh maqtal ki taraf karne laga yuun zaari
Khuld ke kooch me, ham ko nahi bulvaate ho – 2
Kaafle waalo hame chode chale jaate ho
Hay sheh ka naa raha koi bhi yaavar baki
Na alamdar rahe aur na lashkar baki
Na rahe kaasim-e-jarrar na akbar baki
Hai fakat Sibt-e-nabi ka sare anwar baki
Ham to baki hain gamo ranj uthaane ke lie - 2
Maut ne chhoda hame ashk bahane ke liye
Haay shabbir ke marne ki hai ab tayyari
Zakhm par zakhm hain tane sheh par kaari
Bhook me pyaas me gash aate hai sau-sau baari
Beech me ibne ali gird khade hai naari
Apni bimaari par sharminda pisar hota hai - 2
Katl ab saamne bete ke pidar hota hai
Haay baba ko mere koi bachaale aakar
Pher de laake gale par mere koi khanjar
Baad baba ke pisar ka nahi jina behtar
Baap to katl ho jita rahe ye khasta jigar
Ehle baite nabvi par ye jafaae hongi -2
Balvae aam me sar par na ridaae hongi