Ye sada deti hai zainab mere jaani Abbas
- Miscellaneous (2014)
Ye sada deti hai Zainab mere jaani Abbas
Ho kahan tum mere baba ki nishaani Abbas
1. Tum jo Darya pe gaye aaye wapas Abbas Kaun ab lega khabar aaona wapas Abbas Tumse kehti hai yeh Zehra (x2) ki nishaani Abbas
2. Muntazir darr pe tumhari hai sakina Abbas Aur baccho ko bhi deti hai dilaasa Abbas Ab chacha aaenge ab (x2) aaega paani Abbas
3. Saath chhuta hai toh roti hai sakina Abbas Har qadam par yehi kehti hai sakina Abbas Laut aao nahi ab (x2) khwaaishe paani Abbas
4. Kaise kaise hai sitam aur sakina Abbas Ghamzada jaaegi duniya se sakina Abbas Ab palat aao mere (x2) haider-e-sani Abbas
5. Ab na Qasim hai na akbar na mere dono pisar Hum pe khaaye jo rehem koi nahi aisa bashar Koi hamdam nahi yaawar (x2) nahi jaani Abbas
6. Qatl sab ho gaye ab koi mere saath nahi Sab toh sab asghar-e-naadan bhi mere saath nahi Gham hai pyaaron ka toh ab (x2) Tashnadahaani Abbas
7. Lut gayi lut gayi karbal mei toh aakar Abbas Tooti naize ki ani seene mei aakar Abbas Baap se uththi na mayyat (x2) woh jawaani Abbas
8. Sin tha atthaaravan aur maut ka saaman hua Haaye puraa na mera koi bhi armaan hua Rann mei yun mitt gayi akbar (x2) ki jawaani Abbas
9. Khaime jal jaaega jal jaaega sab kuch Abbas Woh laeen chheen ke lejaaenge sab kuch Abbas Ab kahan paaegi amma (x2) ki nishaani Abbas
10.Meri bacchi wahan beemar hai sughra Abbas Kaise bardaasht karegi meri sughra Abbas Kaise keh paaungee rudaad (x2) Zabaani
11.Qatl sarwar hue ab koi humara na raha Dhoondti hu tumhein ab koi sahaara na raha Khushk ab ho gayi ashkon (x2) ki ravaani Abbas