Alwida alwida

- Miscellaneous (2014)


alvida alvida ali akbar alvida
alvida alvida ali qasim alvida
alvida alvida aun muhammad alvida
alvida alvida ali asgar alvida
alvida alvida ya abbas alvida

alvida alvida ya shahide bekhata naaze dashte nainava 3
kar kabul behen ka salam ya hussain
qaid hoke ja rahi hu sham ya husain
dil me teri yaad hai aasra sajjad hai saath ibne saad hai mai hu berida

khatm ho gaye hai sare aasre akbaro abbas mere na rahe.
katilo ki bhid hai humari har taraf
jane ko tayyar ab hai kaidio ki saf
ibne shahe buturab ho gayi hu behijab laut aau kaamyaab de mujhe dua

kya sunau dard fakhre panjetan
chahe maine lakh hai kiye jatan
Be rida hai innama bata nahi saki
bhai teri lash pe mai aa nahi saki
aag thi khayam the jinme do imam the bacche tishnaqam the aati kis tarah

Chup na jaae tera begunah lahu
jaarahi hu isliye maikhubakhu
Jaake mai bataungi tu bemisaal hai
tu baqaae deen hai tu lajawab hai
shahe benawa hai tu
ruhe laaela hai tu
fakhre ambiya hai tu
naaze kibriya

mai na rukne tera gham husain
mai na jhukne dungi ye alam husain
ahd jo kiya hai wo nibhake aaungi
mai husainiyat ko yu bachake aaungi
hashr tak rahega tu
is tarah jiyega tu
aake khud kahega tu
behen shukriya

chodkar chala jo dashte karbala
malkae haya ka kaidi kafela
boli roke shah se dukhtare imran
tashnalab garib bhai mai tere kurban
dil ghamo se choor hai
aur sham door hai
jaana bhi zarur hai
bhai alvida