Yabnul Hassan Askari
- Shadman Raza (2015)
Jo hukm ki khaatir baitha hai (2)
Jo ghaibat me ranjida hai (2)
Jo hukm ki khaatir baitha hai ,Jo ghaibat me ranjida hai (2)
Jo amr pe tere qaaem hai (2)
Makhluq se jo poshida hai (4)
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Wo amre elahi aayega
Mazbut dilo ko kar dega
Bezar logo ko zar dega
Beghar logo ko ghar dega
Wo teg ali ka laaega
Wo adl se duniya bhar dega
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Jo jhuthiyan anaa par qaaem the
Wo pasr giraaye jaaege
Jo zulmo sitam ke baani the
Wo takht jalaaye jaaege
Zaalim ko hataya jaaega
Mazlum bithaaye jaaege
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Puraa kar de ab ehde wafaa
Ab bhej de usko parde se
Maaye behne hai mehbe dua
Ab bhej de usko parde se
Har ek hussaini kehta hai
Ab bhej de usko parde se
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Mazlum ko taakat wo dega
Zaalim pe galbaa paaega
Quran khuda ka laaega
Talwar ali ki laaega
Koshish karle duniya jitni
Wo aane wala aayega
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Haider ke naare hai lab par
Aur baandhe kafan hai sar par
Qaaem ka zikr karte hai
Wo namazi shaamo seher
Hai matami halko ki surat
Tayyaar juluso ke lashkar
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Aawaaz zahoor jab aayegi
Pahoche ham sab kaabe par
Paabandi hogi khatm zarur
Aur hoga maatam kaabe par
Aayegi ghaadi lehraaye
Abbas ka parcham kaabe par
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Jo chin liya tha gaasib ne
Waapas wo elaaka lena hai
Abbas ki surat aana hai
Saahil se darya lena hai
Har zulm ka badla lena hai
Aur sham ka badla lena hai
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Ye saari yazidi murda hai
Murdo se aage darna kya
Ham maut ke baad bhi jite hai
Phir maut se pehle marna kya
Mazlum ke dil ki taaqat hai
Mazlum hai ye hai darna kya
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Halmin naasir jo kehta hai
Wo aaj bhi tanha rehta hai
Aajae Imame Asr abi
Mohsin ka badla rehta hai
Maa maktal me hai baithi hui
Bas ek janaza rehta hai
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (2)
Padte hai duae nudba qamar
Ham raahe haq ke raahi hai
Ham shadmaam ki khushiyon me
Ham zulmo sitam ki tabaahi hai
Jo aakhri fath ki zaamin hai
Us taaj ke ham bhi sipaahi hai
Alqaaeme be amre , wal ghaibe fi khalqe, wal muntizare le izle
Yabnal hasan askari (3)