Abbas Abbas Ya Abal Fazlil Abbas
- Shadman Raza (2015)
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas (2)
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai(2)
Tum bhi nahi ham ko thukrana (2)
Ham duniya ke thukraae hai
Abbas abbas ya abal fazlil abbas
Saare sahaare tut chuke,hame apne paraye lut chuke (2)
Tum apni panaho me le lo (2)
Ham ran se bohot ghabraae hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Ashko ki zaban pehchaante ho,jo dil me hai wo bhi jaante ho (2)
Ham keh nahi sakte tum sunlo (2)
Bas haatho ko failaaye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Har suni godi bhar jaye ,har beti ko rishta mil jaye(2)
Un chehro ko ronak de do (2)
Jo ban ke sabab murjaye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Maula tum babe hawaaij ho,roze pe unhe b bulwaalo (2)
Ghurbat ke sabab jo aa na sake (2)
Ham unke aranje se aye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Jo naam tumhara leta hai,Allah b usko deta hai (2)
Khairat buri da shano ki (2)
Lene k liye ham aye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Hote hai kitne zulm shadid aur ehle aza hote shaheed(2)
Jo khatm yazido ko kar de (2)
Wo taakat maangne aye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Maula hai apse ek hi sawal,Allah hame de rizk e halal(2)
Ho lashkar mehdi me shaamil (2)
Jitney bhi zaaer aaye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Kha kha ke tamache roti hai,zinda ki khaak pe soti hai (2)
Buj jaaye pyaas sakina ki (2)
Ham aankh me aansu laaye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Darbar saki Abbas ka tha,kuch mangna tha laazim manga (2)
Lekin ye haqeeqat bhi hai qamar (2)
Ham pursa dene aye hai
Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai
Abbas Abbas ya abal fazlil abbas
Ya abal fazlil abbas