Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

- Shadman Raza (2015)


Haaaaaaa…..jab gire ghode se…..abbas …….to pahoche maula…..zakhmi abbas ka sar apne zaano pe rakha….pochkar khun ko…aankho se kia…..ek gila….zindagi bhar kabhi tumne na mujhe bhai kaha….dil ye kehta hai ke…zehra ne kaha to hoga….dil ye kehta hai ke zehra ne kaha to hoga….ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha (2)

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde (2)

Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha (2)

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde (2)

                                                                                   

Tujko godi me sambhala mere shabbier ne hai

Teer aankho se nikala mere shabbier ne hai

Aakhri waqt ye shabbir (2)K tu lag ja gale

Ay mere  bhai tu shabbir ko bhai kehde

Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha (2)

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

 

Tujko har waqt hai farzande payambar ka khayal

Mujse dekha nahi jata mere shabbir ka haal

Aarzu iski hai ke abbas (2) muje bhai kahe

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

 

Chakkiya pees ke shabbir ko maine paalaa

Ab nahi koi bhi ise bhai kehne wala

Mere  Shabbir ne maktal me (2) bohot ranj sahe

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

 

Bhai jitney bhi the kehte rahe maula aqa

Ehteraaman kisi bhai ne bhai na kaha

Bhai kehlane ko beta (2) mera kabtak tarse

 Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

 

Yu to kuch dam me mere paas chal aayega

Mera shabbir to tanha yaha reh jaaega

Isse pehle ki gala bête ka (2) khanjar se kate

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

 

 

Mera shabbir meri jaan hai nabi ka waaris

Mera abbas jari tu hai ali ka waaris

Tere baba ki bhi khwaaish (2) hai ke tu bhai kehde

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

 

 

Yaad rakhega jaahan tune wafa wo ki hai

Tune farzande mohammad ke liye jaan di hai

ye tere zakhm tera khun (2) me tere sadke

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

 

Jab gira ghode se to tune sadaa ek di thi

Mai tere paas shabbir se pehle pohchi

Ab mera ek tu ab maan (2) le ye maa jo kahe

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

 

Jism me teer hai baazu hai juda zakhmi sar

Mai bohot roti hu beta teri mazlumi par

Khun bhar dastt wo ridaaa(2) tere maine chume

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

 

 Mere shabbir ko dharas hai sakina ko aas

Roze mehshar bhi tu hai babe hawaaij abbas

Phir kate haath me laaugi (2) shifa-at ke liye

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

 

Aur qamar par hukme abbas kare kya na kare

Ek taraf maa ki kasam ek taraf zehra hai

Dil se bhai ka na hoto (2) se keh na sake

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

Dil ye zehra ne ye abbas ke kaano me kaha

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde

Ay mere laal tu shabbir ko bhai kehde