Mazlumi Duniya Hai
- Shadman Raza (2015)
Labbaik ya Hussain (3) Hussain ya hussain (4)
Maatam ki sadayein se zamaane ko hila do
Pagham e Hussain ibn Ali sabko suna do
Pyaase hai zulm ke azar mita do
Inkar ke har jism ko miti mai mila do
Sar apna kataa dege (2) ghar baar luta dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Sar apna kataa dege (2) ghar baar luta dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Paaighaame sadaaqat sebaatil ko mitaa dege
Ye hasti hai baatil ki duniya hilaa dege
Ahmad ke gharaane ki har shaan dikha dege
Sar apna kataa dege (2) ghar baar luta dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Quran ko ye apna ghamsar samajte hai
Ye huzne shahadat ka ghar raah samajte hai
Marna rahe khaalik me ejaaz samajte hai
Sab zulmo pe tashaddud ki buniyaad mita dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Ye maut ki har manzil aasan samajte hai
Imaan pe mit jana imaan samajte hai
Islam ki fitrat ka irfan samajte hai
Ye kasre yazidi ko mitti me mila de
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Ye khoon se sichege gulzaare nabuwwat ko
Mitne hi nahi dege tauheed ki azmat ko
Ye khel samajte hai duniya e shahadat ko
Islam ko ye gaazi islam banaa dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Zaalim ki kabhi baiyat ham log nahi karte
Ham naasir e mahdi se zaalim se nahi darte
Gar qatl kare duniya ham log nahi marte
Zinda e shahadat se ham ji ke dikha dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Darbar me zaalim ke haq baat pe hai dat-te
Imaan nahi jata ho laakh gale kat-te
Ye karbobala wale firqo me nahi bat-te
Ham saare hussaini hai ham milke dikha dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Safdar hai dilawar hai talwar ke gaazi hai
Islaame sipahe hai kirdaar ke gaazi hai
Mazbut iraade hai guftaar ke gaazi hai
Ye sham ki faujo ko kufe se mila dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Shabbir ke mahsad ko ham log nahi bhule
Chode na namazo ko parde me rahe ehle
Bhai se wafadari maa baap ka dil rakhe
Sajjad shifa dege abbas dua dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Haa tufan musibat ka aya hai to kya gham hai
Paighaam tabaahi ka laya hai to kya gham hai
Badal sa rahoonat ka chaayaa hai to kya gham hai
Zulmat ke zamaane ko purnoor bana dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Maula ki ye himmat hai ye teer bhi khaalege
Akbar ke kaleje se barchi bhi nikaalege
Peeri mai jawaani ka laasha bhi utha lege
Jab sab ye luta dege gardan bhi kata dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Zaalim ki nazar jinko majbur samajti hai
Taakat se mitaa dena dastur samajti hai
Laachar samajti hai mehjul samajti hai
Wo asr talak mazhar ghar apna luta dege
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)
Ha mazlumi duniya hai, zaalim ko bata dege(2)