Bohot Delair They Ammu
- Syed Raza Abbas Zaidi (2011)
Suwe Sakina takabbur se dekhta hoga
Sawal beti ne maloon ki kiya hoga
Yeh jiska naam Sakina hain kon hain baba
Lahoo hain kanon se jaari data hua kurta
Kaha yazeed ne beti se puch le khud hi
Sakina boli khabardar tu agar boli
Main Sakina hoon Mohammed ki main nawasi hoon
Mujhe yeh yaad nahi jitne din ki pyaasi hu
Mat kar koi sawal,na puch mera haal....x2
(Watan se dur bhi sheron ke sher the ammu
Bohot delair the ammu....x2)x2
<div class="im" rgb(80,="" 0,="" 80);"="">
Yeh mera haal jo is waqt dekhti hain tu
Sabab hain iska tera baap sun rahi hain tu
Isine kunbe ko mere bulake luta hain
Isine mere chacha ka bhi sar utara hain
Mere chacha ko bazaron ne milke mara hain
Bohot delair the ammu.....x2
Watan se dur bhi.....
Bohot delair the ammu....x2
Akela jaan ke nau lakh lashkar uske
Sage na jiski tarha haye unpe tut padte
Kisine gurz lagaya kisine talware
Bagair tegh lade woh falak ne dekha hain
Labe faraat abhi tak alam chacha ka hain
Bohot delair the ammu....x2
Watan se dur.....
Bohot delair the ammu....x2
Jigar thamke binte yazeed sun meri baat
Mere chacha se tera baap le saka na furaat
Agrache dhoke se kate gaye chacha ke haath
Yeh buzdili hain hame qaid karke laya hain
Har ek lashkari tere pidar ka kehta hain
Bohot delair the ammu....x2
Watan se dur.....
Bohot delair the ammu....x2
Tu mere kano se behte lahu ko puchti hain
Na kaise puchegi beti to tu yazeed ki hain
Yeh khoon yeh kurta yeh mere gale me rasan
Chacha ke baad sitam isne mujhpe dhaya hain
Shaheed hoke bhi baki bharam chacha ka hain
Bohot delair the ammu....x2
Watan se dur bhi.....
Bohot delair the ammu....x2
Tu meri shaan Madinay me dekh leti agar
Mila na sakhti thi meri kaneez se tu nazar
Yeh tera baap jo baitha hain takht e shahi par
Yeh isne bheek me sadat hi se paya hain
Yazeed naam pe Gazi ke chauk jata hain
Bohot delair the ammu....x2
Watan se dur.....
Bohot delair the ammu....x2
Chacha ke hote kisiki bhi yeh majal na thi
Meri phuphi ke gale me jo bandhta rassi
Meri taraf koi kya dekhta nazar bharkar
Chacha ke baad tamacha bhi maine khaya hain
Yaha bhi hain unhe baba ne rok rakkha hain
Bohot delair the ammu...x2
Watan se dur.....
Bohot delair the ammu....x2
Gulamzadi hain tu main toh shahzadi hoon
Jhulaye hure mera jhula uski aadi hoon
Janabe Zehra ki chadar ke saye me hoon pali
Yazeed bandh ke nake pe mujhko laya hain
Ab unke sar se bhi nazrein churaya firta hain
Bohot delair the ammu....x2
Watan se bhi.....
Bohot delair the ammu....x2
Chacha to sang se pani nichod sakte the
Woh alkama ko meri samt mod sakte the
Unhe to izne wiga hi na diya baba ne
Shaheed hoke bhi Gazi laqab unhi ka hain
Bhala yeh martaba kisne jahan me paya hain
Bohot delair the ammu....x2
Watan se dur....
Bohot delair the ammu.....x2
Yazeed unke kate sar se khauf khata hain
Woh dekh chakke gulamon ke saath baitha hain
Woh din bhi ayega nafrat karegi baap se tu
Mera chacha mera baba imamzada hain
Yazeed to unki nalain se bhi chota hain
Bohot delair the ammu.....x2
Watan se dur.....
Bohot delair the ammu....x2
Jami hain pyaas labon par yeh imtehaani hain
Meher me dadi ke dono jahan ka pani hain
Hamare dada ko kehte hain saqiye kausar
Laqab bahisht ka mere chacha ne paya hain
Agar woh chahe to pani baras bhi sakta hain
Bohot delair the ammu...x2
Watan se dur....
Bohot delair the ammu...x2
Yeh sunke ashk jo binte yazeed ke tapke
Utar ke baap ki godi se maazrat karke
Kaha Sakina se main bhi kaneez aapki hoon
Jo hukm ho toh main dil bhi yahi kehta hain
Kaha Sakina dil tera mere dil sa hain
Bohot delair the ammu...
Watan se dur ....
Bohot delair the ammu....x2
Yeh jung jeeti Rehan o Raza Sakina ne
Ajeeb shaan se hamla kiya Sakina ne
Ali ki poti thi Abbas ki bhateeji thi
Labe Sakina se nikli woh baat zinda hain
Lahad pe bali Sakina ke ab bhi likha
Bohot delair the ammu....x2
Watan se dur bhi.....
Bohot delair the ammu ...x2
Nanhi se lehad Sham me maujud hain logo
Masum ki lalkar ne zindaan nahi choda
Lagta hain ke sadiyon se Sakina ki fuga
Abbas ke qatil ka girehbaan nahi choda