SAQE KI CHAH ME

- Anjuman AunOMohammad (2014)


SAQE KI CHAH ME YOU’N ROYI SAKINA PATHER ANKHE’N BHARIYAN
PYASO KA LAHO TOU ARZA THA PANI KI WAHI MENGAIYA
1) Ashur ko pyasi bhatiji se wada jot era pura na hua
Pani pr larazti hai abtak abbas teri parchaiya’n


2) Farzande ali zehra ke pisar jald aou taraie se uthkar
Phir khana e zehra jalta hai lout aye hai phir balwaiya’n


3) Jis din se gye farzande nabi sooni hai padi ek ek gali
Hum jholiya ban gye sughra ki biti yade tanhaiya’n


4) Aye damane sahil tu inko abbas ke shane mat kehna 
Yeh zabte wegah me hai ghazi ki do tutui hui angadiya’n


5) Maidan me aun o mohd ne dariya ki taraf ruq bhi na kiya
Dekhi na gye yu pyaso ki pani se be parwaiya’n


6) Hai ek rasan me bara gale saye ke sataye dhup jale 
Be parda phirai jati hai abbas teri majaiya’n


7) Nowras ghunche pamal hue gul phulsamar behal hue
Zehra o ali ke gulshan me ulthi chalgyi purwaiya’n


8) Ek zaqm tha senaye akber ka ek zaqm gulu e asgher ka
Ab tak hai SAROSH in ashko’n me un zaqmo ki gehraiya’n