Ajaye Ammu
- Noor Alam Abidi (2015)
ajaiye ammu
Mazloom sakina masoom sakina ,
Magmoom sakina ke labo par the ye naale ... kismat ye sitam koi yateema pe naa daale ... ahh ahle haram aabide muztar ke hawaale... haaye gardan me jiske tok e gira paao me chaale .. mazbur yateema ko naa rulwao chacha jaan .. haaye nusrate ko meri ab to chale aao chacha jaan .......
Aajaiye Ammu Aajaiye Ammu
Ro ro ke ye maqtal me sakina ne pukara ... Aajaiye Ammu Aajaiye Ammu
Humse to kaha tha ke abhi laata hu paani ,
Thehro meri jaani ,
Aa pae nahi pyaas se dukhta hai kaleja......
...
Bacche dar e khaima pe khadhe aas lagae,
Kuzo ko uthaye ,
Bechain hai dil ghaat pe kya jaane hua kya....
...
Aajaiye ab pyaas ka shikwa na karugi ,
Jo dukh hai saungi ,
Ran ko jo gaya zinda nahi lout ke aaya....
......
Wo aun o mohammed ..2
Ali akbar gaye maare ..
Wo nanne baradar ali asgar gaye maare..
Wo aun o mohammed ali akbar gaye maare ,
Wo nanne baradar ali asgar gaye maare..
Wo qasime muztar dile shabbar gaye maare ..2
Ghodhe se gira jaake koi tumko pukaara ....
...
Aajaiye naize pa mere baba ka hai sarr,
Dil soz hai manzar,
Ab iss bhari duniya me nahi koi humara ....
....
Jalte hue khaimo me na ghutjae mera dam,
Hai hashre ka aalam,
Ghash me hai padha aabide muztar mera bhaiya ..
....
Bhai ko pinaate hai laee tok o sala sil,
Dukhtar hai mera dil,
Bimaar pela ghar pe sitam hote hai kya kya...
....
Afsos phupi balwe me sarr nange khadhi,
Aafat ki gadhi hai ,
Kis tarah hai ye aapki gairat ko gawara...
....
Kuch dhund phirte hai laee narm zamee par ,
Naizay ko chubaa kar ,
Zaalim ko na mil jae kahi nanna sa laasha...
...
Ammu mujhe baba ne jo pehnaae the bunde ,
Yuh shimr ne khache,
Jaari hai mere kaano se ek khoon ka dhara. ...
...
Faryad .........
Faryad meri arshe wila tak nahi pohchi..
Faryad yateema ki khuda tak nahi pohchi..
Faryad sakina ki chacha tak nahi pohchi..
Ab hoga bhala kaise yateema ka guzaara .........
Le jaate parinde bhi hai baccho ko udhaakar,
Aafat se bacha kar ,
Toofan musibat me nahi koi humara.
....
Pelil hui fehm ye faryad faza me,
Mohaule bala me ,
Ashre ko jo noori ye sakina ne pukaara ...
....
Thakhaar ke ...
Thakhaar ke kuzo ko liye soo gayi bacchi,
Be aas hui yaado me yu kho gayi bacchi,
Aankho ko kiye band ..2
Zaba par tha ye nalaaa
.
...