Aaja Qasim
- Farukh Rizvi (2010)
Aaja Qasim ye aakhri raat hai beta kal jaane kya hojaye....2
Armaan badhadu mai, tujhe dulha banadu mai, ab der na kar aaja
Aaja qasim...
1) Aa laal mere tujhko sine se laga lu mai..(2)
Ek raat ki mohlat hai, nazdik qayamat hai, ab der na kar aaja...
2) Qasim teri shadi ka armaa'n tha bohot usko ..(2)
Akbar se kaho jaye, sughra ko bula laye, ab der na kar aaja...
3) Aye chaand mere tujhko mai dekhlu ji bharke ..(2)
Taareek zamana hai, tujhe dur bhi jana hai, ab der na kar aaja...
4) Mai aisi chadhaungi shehzaade bari teri ..(2)
Jode jo sajaungi, jannat se mangaungi, ab der na kar aaja...
5) Aawaz e azaa'n gunji to kaamp gayi Farwa ..(2)
Shab guzri seher aayi, maa kehke ye tharrayi, ab der na jar aaja...
6) Ek pyaase ki shaadi hai aur pyaase hai baraati ..(2)
Hasrat zada manzar, aur jaan labo'n par hai, ab der na kar aaja....
7) Jab shaame sitam aayi aur chhinne lagi chaadar ..(2)
Rote hue ghabra kar, hasrat se kaha maa ne, ab der na kar aaja....
8) Aylane safar sunkar dil thaamke ye boli ..(2)
Hai kooch ki tayyari, maa tujhpe gayi waari, ab der na kar aaja.....
9) Jab ran se chali maadar the bayn yehi gauhar ..(2)
Bin dekhe jo jaungi, mai ji nahi paungi, ab der na kar aaja......