Zanjeer Ka Matam
- Noor Alam Abidi (2015)
Zanjeer ka matam ... (2)
Aapka phattha hai seena maatame shabbir se(2)
Hum kia karte hai maatam jab kama zanjeer se (2)
Jo jala karte hai zehra chadar-e-tatheer se ,
Wo milaenge kya nigha qaatibe taqdeer se,
Hum hai dua-e-fatima sheh ke wirsa daar hai (2)
Khoo bahane ko ghame shabbir ne tayyar hai ..
Zanjeer zanjeer ka matam to sada chahie mujhko (2)
Tune ghame shabbir ki daulat se nawaza (2)
Ab tujhse naa kuch mere khuda chahie mujhko (2)
.....
Taskine dile fatima zehra ki hi khatir (2)
Ye majliso matam ye bukaa chahie mujhko (2)
...
Islie karte hai matam hum kama zanjeer ka ,
Khoone na haqqa bahaa jo asgaro shabbir ka,
Hak adaa karna hai humko apne maa ke sheer ka ,
Maatame sarwar hai maqsad zainabo dilgir ka,
Hazrate shabbir ka matam karo talwaar se ,
Laal kardo rasta apne lahu ki dhaar se ...
....
Hai matame shabbir mujhe jaan se pyaara (2)
Jannat me bhi matam ki faza chahie mujhko (2)
...
Qurban kare haq pa ise aey mere sartaaj ,(2)
Maa ne kaha asgar naa mera chahie mujhko (2)
..
Qubra ke the ye laashae naushaha pa naale (2)
Jab aap hi naa honge to kya chahie mujhko (2)
....
Qurbaan ho ab aun-o-mohammed mere bhaiyaa (2)
Ab inke lie ran ki riza chahie mujhko (2)
...
Padhta hu me noori jo ghame shah ke nauhay (2)
Zehra ki dua rab ki riza chahie mujhko (2)
....
Marr jau to hai meri wasiyat yahi amber (2)
Seene pa mere khaakhe shifa chahie mujhko (2)
..
Khoo me dube matami se dil ko behlaati hai maa ...
Saaf karne khuld se aati hai maa..
Sath me ashke azaa rumaal ko laati hai maa..
Matami ke zakm sarr ko roo ke sehlaati hai maa...
Kehti hai ye laal tum mere matam daar ho..
Ho mohibbe shahedi jannat ke tum haqdaar ho...