Qaid Tanhayi Mein Dum

- Ravi Road (2011)


Qaid Tanhayi Mein Dum Ghutne Laga Hai Mera - Ravi Road

Qaid tanhayi me dum, ghutne laga hai mera
Aake seene se lagao baba.

Main andhere me akeli, na maar jaaoon kahin
Mujhko marne se bachao baba.

1)
Main teri yaad me din raat yun tadapti hoon
Jaise pinjre me koi ghayal padha ho panchee
Maut ka khauf hai sannata hai veerani hai
Meri imdaad ko aawo baba.

2)
Mujhko aadat hai tere seene pe sar rakhne ki
Chayn ki neend bhala kaise zameen par aaye
Qaid khane me toh padhti hai bala ki gaarmi
Apni godee me sulwao baba.

3)
Mere dadaa ne reha kitne kiye the qaidi
Uski pouti hoon magar qaid me majboor hoon mai
Naam leke tera ronay nahin deta zalim
Abh meri qaid chhudao baba.

4)
Phuphiyon ke bhi bandhe haath passe gardan hain
Woh bhala kaise meri ankhon se ansoo ponchain
Be sahara hoon yateemi ka kadha mausam hai
Apni soorat toh dikhao baba.

5)
Yaad besheer ki aati hai mujhe shaam-o-sehar
Uska jalta howa jhula bhi nazar aata hai
Mujhe miljawo mere maarnay say pehle aakar
Saath Akbar ko bhi laawo baba.

6)
Noke naiza pe jo karte the tilawat Mola
Jaane kya soch ke "Akhtar" ye Sakina ne kaha
Shaam ke log hain behre ye samajh sakte nahin
Inko Quran naa sunao baba.