Ya Muhammad Mustufa saw
- Muqddas Kazmi (2014)
Maulaya salli wassalam daeeman Abadan
(Maulaya salli wassalam daeeman abadan ala habibi ka khairil khalki kulli himi)x2
Mohammadun sayyadun kaunaine wa saklaine...x3
(Maulaya salli .....kulli himi)
Huwal habibil lazi turja shafa atahu...x3
Li kulli haw lim minal ahwali muktahimeen
(Maulaya salli.....kulli himi)
Bismillahir rahman nir rahim
Kul la asalukum alayhe ajran illal mawaddata dil kurba
Qurane majeed me irshade rabbul izzat hota
Allah ke naam se shuru karta hu jo badan rahman o rahim hain
Aye mehboob keh dijiye ke tum se risalat ka ajar nahi mangta siwaye ke able bayte athaar se mawaddat karo
Manga tha kya khuda ne ummat ne kya diya
Kehte rahe Hussain samjho risalat ki zebo Zainab
Farmaya tha Rasool ne "Hussaino minni wa ana minal Hussain "
Ya Mohammed Mustafa.....x4
Tukde tukde hain tera ...x2
Shabbir maqtal me pada
Ya Mohammed Mustafa.....x2
Hain tera naazon ka pala Karbala me
Waarise tatheer ke beti hain pabande rasan
Dekh kya teri risalat....x2
Ka mila hum ko sila
Ya Mohammed Mustafa....x2
Khoon me dubi huwi nana teri tasweer hain
Jhulna naize pe jhoola Asgar e besheer hain
Chid gaya hain teer se....x2
Masum ka nanha gala
Ya Mohammed Mustafa...x2
Para para nainawa me hain hasan ka ladla
Sehre ki ladiyan hain bikhri Karbala me jabaja
Kaisa badla dekh hain ....x2
Qasim ka hain rang gehrena
Ya Mohammed Mustafa....x2
Hain gale me tauk bhari paon me hain bediyan
Poor hain sang qaidiyon ka Zahra ki hain betiyan
Khoon hain Sajjad rota....x2
Dekhe hum ko berida
Ya Mohammed Mustafa....x2
Jisko behlate the Akbar woh jo roti thi kabhi
Woh jo bin baba ke sine ke na soti thi kabhi
Kis tarha soyegi woh...x2
Zindaan me mujhko bata
Ya Mohammed Mustafa....x2
Dekh fir kurva ko ummat ne bhulaya hain kis tarha
Hain risalat ka ajr tumko mila kuch is tarha
Hain tere Shabbir ka....x2
Pyasa gala ran me kata
Ya Mohammed Mustafa....x2
Zulm hain woh zulm jiski mil nahi sakti misaal
Khaake baitha so gaya Shabbir ka masum laal
Uska lasha bekafan hain...x2
Jo binae la ila
Ya Mohammed Mustafa....x2
Tha Muqaddas khoon jo Khurshid ran me beh gaya
Aur hal min ki sada Shabbir deta reh gaya
Karbala me charsu...x2
Ab shor e matam hain bapa
Ya Mohammed Mustafa...x2
Tukde tukde hain tera ...x2
Shabbir maqtal me pada
Ya Mohammed Mustafa....x4