Ye darde Karbobala do jahaa(n) pe chaaya hai

- Sajjad Merchant (2015)


Ye darde Karbobala do jahaa(n) pe chaaya hai
Ghame HUSAIN(A) mei NABIYO(n) ne khoo(n) bahaya hai

1)
Jo pohche Hazrate Adam dayaare Karbobala
To khaai raah mein thokar badan se khoon baha
Sabab KHUDA(S) se jo poocha to ye jawaab mila
Ghame HUSAIN(A) mein taahir lahoo bahaya gaya
Baha jo khoo(n) usey SHABBIR(A) se milaate hain
Shareek e Karbobala ham tumhein banaate hain

2)
Huwa Khaleele KHUDA(a) ka guzar jo Karbal se
Ulaj ke gir pada rahwaar sar ke bal wo gire
Khaleel Imam they dekha jo khoon riste huwe 
To RAB se poocha ke sar se lahoo baha kaise
Kaha KHUDA(S) ne yahaan SHEH(A) ka khoon Behan hai
Tumhare khoon ko usmein shareek rehna hai

3)
Kaleem e Haq ko bhi Karbal mein ek khaar chubha
Jo nikla khaar to jaari tha khoon ka fawwara 
Sawaal RAB(S) se kiya to unhein jawaab mila
Ghame HUSAIN(A) mein ye khoo(n) bahaa hai ay Musa(a)
Jo khoo(n) ke purse pe pabandiyaa(n) lagaata hai
Wo shaks FATEMA ZAHRA(S) ka dil dukhaata hai

4)
Karo jo jaan bhi qurbaa(n) na haq ada hoga
Fida ho baap fida maa(n) na haq ada hoga
Bata raha hai ye Qur'aa(n) na haq ada hoga
Wo hai HUSAIN(A) ka ehsaa(n) na haq ada hoga
Ye mai nahi ye KHUDA-E-KARIM kehta hai
Azim RAB isey Zibh-e-Azim kehta hai

5)
ALI(A) ka jo nahi(n) naukar wo sarfaraz nahi(n)
Jina mein jaaneka uske koi jawaaz nahi
Amal abas hai jo ishqe SHAHE HEJAAZ nahi(n)
Agar nahi hai Wilayat to phir namaaz nahi(n)
Wila ke waaste NABIYON(a) ne apni jaa(n) di hai
Wila se Deen ko ALLAH(S) ne amaa(n) dii hai

6)
Sada rulaengi qurbaaniyan bahattar ki
Kabhi bhi bhool na paenge pyaas ASGHAR(A) ki
Wo bekasi thi wo tanhaaiyan thi(n) SARWAR(A) ki
Akele SHEH(A) ne uthaai thi laash AKBAR(A) ki
Sabab ye kaafi hai SARWAR(A) pe khoo(n) bahaane ko
Batao SHAH(A) ki mazloomiyat zamaane ko

7)
Sitam ne khech lii(n) yun baaliyaa(n) SAKINA(S) ki
sunaai deti hai ab tak fughaa(n) SAKINA(S) ki
Lahoo rulaye na kyun siskiyaa(n) SAKINA(S) ki 
Ke qaid khaane mein nikli hai jaa(n) SAKINA(S) ki
IMAME WAQT(A) ko Hamid ye gham satate hain
Tadap tadap ke wo aakho(n) se khoo(n) bahaate hain