Halmin Nasirin Yansurna

- Miscellaneous (2014)


Yeh kehte hain maqtal se, Ab bhi shahe abrar
Haq baat pe mar jana, Ay mere azaadaar

Halmin Nasirin Yansurna(4)

Jaan gawa dena izzath na gawana
Dekho mera sajda tum bhool na jana
Haan tum he toh ho mere maqsad k alamdaar

Halmin Nasirin Yansurna(2)

Rakhna nigahon may abid ki aseeri
Haathon may hathkadiyan aur paon may bedi
Hona jo zamane ki musibat may giraftaar

Halmin Nasirin Yansurna(2)

Ro na jawanon tum akbar se jawan ko
Bhool nahi jana awaz e azaan ko
Ban jana zamane may islaam ka kirdar

Halmin Nasirin Yansurna(2)

Haye ye majboori haye ye gareebi
Baap ne khud bete ki qabr banayi
Hilti thi zameen unki jab roti thi talwar

Halmin Nasirin Yansurna(2)

Rakhna hifazath may behnon ki ridaaein
Tumko khuda baqshe uss sar ki wafaein
Woh sarke jo naize se gir jata tha har bar

Halmin Nasirin Yansurna(2)

Samne abid k tha hashr ka manzar
Balwe may zainab thi be maqna o chaadar
Tum bhul nahi jana woh shaam ka bazaar

Halmin Nasirin Yansurna(2)

Padhta hua nauha karta hua matam
Dard liye dil may aur haath may parcham
Yun ayega ghaibat se duniya ka nigehdaar

Halmin Nasirin Yansurna(2)

Shayar o zakir ho ay nayyar o amir
Haan tum mere nasir ho ay nayyar o amir
Abbas mera hoga tum sab ka madadgaar

Halmin Nasirin Yansurna(2)