Zainab Ko Ghazi Yaad Aya
- Shadman Raza (2006)
Haye Bazaar-e-Shaam Jaakar
Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3)
Haye Bazaar-e-Shaam Jaakar
Zainab ko Ghazi Yaad Aya
Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3)
Aankhon se khoon jari, Sar pe rida nahi thi
Zakhmi haram ke dethe, Koi dawa nahi thi
Jab duray lage badan par,(2)
Zainab ko Ghazi Yaad Aya
Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3)
Sadat pa ba rehna, Katon bhare the raste
Rote the jab ye qaidi, Bedard log hasthe
Jab dekhi sina pe chadar,(2)
Zainab ko Ghazi Yaad Aya
Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3)
Hamsheer Royi uspar, Taqdeer royi uspar
Beemar jab bhi roya, Zanjeer royi uspar
Hai ghalion pe barse pathar,(2)
Zainab ko Ghazi Yaad Aya
Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3)
Jo margaye haya thi, Rahon me be rida thi
Ye soch kar ye zainab, Bas mehre marsiya thi
Hai sheeren ke ghar me jaakar (2)
Zainab ko Ghazi Yaad Aya
Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3)
Is se badi qayamat, Kya aur hogi logon
Abid ne apne sar ko, Kyun na uthaya socho
Woh kehta tha bas ye rohkar(2)
Zainab ko Ghazi Yaad Aya
Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3)
Abba ki behen par, Ek aisa waqt aaya
Darbar me sitam ke, shimr-e-leyin pukara
Hai kaun shah ki khwahar, (2)
Zainab ko Ghazi Yaad Aya
Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3)
Nikli thi jab woh ghar se, manzaar woh yaad aaya
Nazrein jhukao logon, Abbas ne kaha tha
Ab shaam mei khule sar(2)
Zainab ko Ghazi Yaad Aya
Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3)
Athara bhaiyon ki, Hamsheer aur khule sar
Aye logon taras khao, Zainab ko dedo chadar
Fiza jo boli rokar (2)
Zainab ko Ghazi Yaad Aya
Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3)
Darbar mei gayi thi, Ek roz Fatima bhi
Ek rida thi sar par, Beton se thi tassali
Yaad aaya use ye manzaar, (2)
Zainab ko Ghazi Yaad Aya
Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3)
Ghuziri jo bibiyon par, kya shadman sunaye
Mazhar mera kaleja, Sadmo se phat na jaye
Bas roko qalam ye kehkar (2)
Zainab ko Ghazi Yaad Aya
Zainab ko Ghazi Yaad Aya (3)