Kiya Hum Hi Sayyida Ki Dua Hein

- Ali Deep Rizvi (2012)


Goonji thi jo karbal me halmin ki sada hai;;;
Gham khwar hain Maula ke ham hi ahle aza hain;;;
Socho ye azadaron, shabbir ke gham khwaron !!!!!

Kya ham hi Sayyida ki dua hain?

Bibi ne sikhaya tha jo majlis ka tareeqa;;;
Hamne to badal daala hai ab iska tareeqa;;;
Apnayi dikhawat ki banawat ki rusumaat;;;
Aur inko bhi kahte hain ibadat ka tareeqa;;;

Kya ham hi Sayyida ki dua hain?

Taqleed pe ham log bharosa nahin karte;;;
Gheebat hai bura kaam yahi kaam hi karte;;;
Naaraz na ho jayen kahin aale Muhammad (as);;;
Is baat ki parwaah magar ham nahin karte;;;

Kya ham hi Sayyida ki dua hain?

Padhte nahin qur'aan namaze'n nahin padhte;;;
Wajib hain jo ahkam ada wo nahin karte;;;
Rakhte hain aqeedat pe hi bakhshish ka bharosa;;;
Momin ye kabhi kaam kiya hi nahin karte;;;

Kya ham hi Sayyida ki dua hain?

Masjid me siyasat hai to mimbar pe siyasat;;;
Mahfil me siyasat hai to majlis me siyasat;;;
Kirdaar kashi karne me ham sabse hain aage;;;
Ab isse badi kya ho bhala aur qayamat;;;

Kya ham hi Sayyida ki dua hain?

Majlis me ghame shaah ki karte hain dikhawe;;;
Maqsad ko bhula baithe hain ham karbobala ke;;;
Farshe aza pe ab na aqeedat na ehtraam;;;
Jiddat pasandi aa gayi ikhlaas bhula ke;;;

Kya ham hi Sayyida ki dua hain?

Maa bahno ke sar pe hamein chadar nahin dikhti;;;
Na mahramo ko dekh ke gardan nahin jhhukti;;;
Aati hain muharram me har ek ghar meri Bibi;;;
Ye dekh ke halaat wo kya sochti hongi;;;

Kya ham hi Sayyida ki dua hain?

Ham log azadar hain karte hain ye charche;;;
Khoon e gham e Shabbir ke ham karte hain saude;;;
Maulana ho zakir ho ya masjid ke nigehbaan;;;
Kirdaar o amal apna khara ham nahin karte;;;

Kya ham hi Sayyida ki dua hain?

Wo izn agar dete hain ham padhte hain nauhe;;;
Wo izn agar dete hain ham likhte hain nauhe;;;
Ham apni numaish me magan aaj hain aise;;;
Fankaar bane baithe hain ham zikr ke inse;;;

Kya ham hi Sayyida ki dua hain?

Socho ye azadaron ye tanhayi me jakar;;;
Kis baat pe tanqeed hui ham pe ye aakhir;;;
Ham door karein saari burayi ko amal se;;;
Ek jaisa banayen chalo ham baatin o zaahir;;;

Kya ham hi Sayyida ki dua hain?

Khush ho gayin Bibi to duaen hamein dengi;;;
Jannat me momino se wo jab aake milengi;;;
Kirdaar o amal se jo kiya hamne ye saabit;;;
Phir dekhna ye Fatima Zahra bhi kahengi;;;

Haa'n tum hi Sayyida ki dua ho!!!!
Haa'n tum hi Sayyida ki dua ho!!!!