Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha
- Ameer Hassan Amir (2006)
hala khanjar toh sarhane se pukari zehra
Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)
Ay mere laal hussain (6)
Chala khanjar toh sarhane se pukari zehra
Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)
Teri gardan pe kiya karti thi mai pyaar kabhi
Apni tasveer ko karti thi tera haal kabhi
Kya qabar thi k chalegi yahin talwar kabhi
Isi gardan pe toh lete the payambar bosa
Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)
Rehgaya khoon may reqabon ki tabeeron may
Aaj har simt se tu phir gaya shamsheeron may
Dekhun kin ankhon se laal tujhe teeron may
Kabhi jibreel jhulate the tera gehwara
Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)
Aa mere laal mai anchal may chupalun tujhko
Maamta kehti hai bahon may basalun tujhko
Phir usi tarha mai seene se lagalun tujhko
Jaise ek baar mera bandhe kafan toota tha
Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)
Tu hai woh phool k rota hai chaman bhi tujhko
Tu musafir hai k dhundega watan bhi tujhko
Haan magar denge na ashraar kafan bhi tujho
Woh bhi chin jayegi agar laash pe rakhdun mai rida
Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)
Shimr ki ankhon may ghairat ki nishani bhi nahi
Doob hai itna k khanjar may rawani bhi nahi
Khush hai halq may rehal ka paani bhi nahi
Haan mere mahal may halan k yeh behta dariya
Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)
Ab woh humshakle nabi akbar e jaraar kahan
Sogaya dast may abbas e alamdar kahan
Khaak e jungal may luti hai teri sarkar kahan
Kya ujadta hai bhala yun bhi kisika kumba
Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)
Qasim o aun o mohammed ali akbar bhi nahi
Naaz tha jise pe tujhe ab toh woh lashkar bhi nahi
Kaanon baazu pe rakha hai k baradaar bhi nahi
Kya qabar thi k tu hojayega itna tanha
Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)
Sab ko batlate hain ye log nabi ki ummat
Ab na ankhon may murawat na dilon may ghairat
Naam sa ghusl o kafan kaisi namaz e maiyyat
Chod jayenge ye sab khaak pe laasha tera
Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)
Sogaye run may tere sog manane wale
Khoon may doob gaye khaak udane wale
Bekafan khud hai kafan tujhko pinane wale
Aa teri laash pe mai dalun woh ashkon ki rida
Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)
Asr e ashoor ka hai ameer o nayyar woh asar
Ghumzade karbobala sa gaya har manzar par
Ab musalle pe ho mimbar pe hun ya bistar par
Ghum juda rehta hai socho mai wahi ek noha
Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)