Hayya ala khairil amal

- Ali Safdar (2010)


Hayya ala khairil amal (4)

Hussain walon suno aye hussain walon suno(4)

Hussain kehte hain humse juda namaz na ho (3)
Hussain walon ki koi qaza namaz na ho (2)

Padho namaz toh tehzeeb e karbala maango
Khuda se maqsad e shabbir se wafa maango
Jo hur banati hai woh naymat e aza maango
Imam e asr k aane ki tum dua maango
Dua ko haath uthe phir dua namaz na ho

Hussain kehte hain humse juda namaz na ho
Hussain walon ki koi qaza namaz na ho (2)

Bata rahe hain shah e deen imteha e namaz
Samajhle saare azadaar mudda e namaz
Ajeeb haal hai gaflath sare bazaar namaz
Jo ya hussain kahe aur bhuljaye namaz
Yeh kaise ho k ho farsh e aza namaz na ho

Hussain kehte hain humse juda namaz na ho
Hussain walon ki koi qaza namaz na ho (2)

Hussainiyon k aqaaed isthe waha nahi
Amal may unke kabhi sharf ka gunah nahi
Namazo khums k munzir k rasmo raah nahi
Khuda ka ghar hai ye masjid beqatlgaaha nahi
Rahe nabi agar firq ka namaz naho

Hussain kehte hain humse juda namaz na ho
Hussain walon ki koi qaza namaz na ho (2)

Wuzu sagheer k khoon se kiya hai sheh ne yahan
Qayam karte hai laashe utha k shah e zamaan
Ruku sina e akbar se khinchna hai sina
Gale pe sajda e daag may ek churi hai rawan
Hussain jaisi kisi se khaza namaz na ho

Hussain kehte hain humse juda namaz na ho
Hussain walon ki koi qaza namaz na ho (2)

Zameen e asr k hangaam aye ibne ali
Bichi zameen pe ki jaye namaz teeron ki
Lahoo may dubi hui khaak par jaqeen rakhi
Namaz e asr ko maula ne zindagi de di
Mai mar bhi jaun toh lekin qaza namaz na ho

Hussain kehte hain humse juda namaz na ho
Hussain walon ki koi qaza namaz na ho (2)

Dil e hussain may hai dafn sina e akbar
Malaal e furqat e ghazi ne todh di hai kamar
Abhi toh taza hai asghar ka khoon chehre par 
Ye sehte imam sajde may hai hussain ka sar 
Amal ho kaise juda sar juda namaz na ho

Hussain kehte hain humse juda namaz na ho
Hussain walon ki koi qaza namaz na ho

Hayya ala khairil amal(4)