Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya, Baba Tere Baad.
- Ali Deep Rizvi (2011)
Sayeda (Sa), Tahera (Sa), Razia (Sa), Maraiz(Sa),
Aai Umme Abhiha Ya Fatema Zehra (Sa).....2
Kya Kya Na Zulm Dhaya Gaya, Baba Tere Baad.....(3)
Darbar Me Bulaya Gaya..... Baba Tere Baad.
Kya Kya Na Zulm.......(2)
Baba Sitam Ki Inteha Mujh Par Yeh Ho Gai,
Baba Teri Judai Me Jee Bhar Na Ro Saki,
Mujhko Bahut Sataya Gaya.....Baba Tere Baad.
Kya Kya Na Zulm.......(2)
Ummat Ne Sub Bhula Diye, Ehsan Rasool(Saww) Ke,
Tazeem Kar Sake Na Yeh Ghar Ke Batool (Sa) Ke,
Is Ghar Ka Dar Jalaya Gaya..... Baba Tere Baad.
Kya Kya Na Zulm.......(2)
Cheena Hai Gasibon Ne Fidak Mujh Se Be Sabab,
Haq Maang Ne Gai Thi Adalat Me Baba Jab,
Mujh Se Gavah Mangaya Gaya ..... Baba Tere Baad.
Kya Kya Na Zulm.......(2)
Woh Zulm Dhaie Mujh Pe Karu Aab Bayan Kya,
Raushan Dino Pe Padhe Te Agar Hote Woh Siyah,
Mujhko Bahut Rulaya Gaya..... Baba Tere Baad.
Kya Kya Na Zulm.......(2)
Sehme hue hai Ghar Me Hussain (As),Aur Mera Hasan(As).
Mushkil Kusha(As) Ke Dekhiye Gardan Me Hai Rasan,
Mujhko Yeh Din Dikhaya Gaya..... Baba Tere Baad.
Kya Kya Na Zulm.......(2)
Be Deen Ko Dikhaie Sanad Jub Rasool (Saww) Ki,
Hathon Me Leke Phad Di,Aur Na Kabool Ki,
Hukme Nabi(Saww) Bhulaya Gaya Baba Tere Baad.
Kya Kya Na Zulm.......(2)
Yeh Dastan Sitam Ki Ali Deep Ne Likhi,
Dunia Ke Saam Ne Yeh Haqiqat Bayan Ki,
Yeh Bain Jo Sunaya Gaya Baba Tere Baad.
Kya Kya Na Zulm.......(2)
Sayeda (Sa), Tahera (Sa), Razia (Sa), Maraiz(Sa),.....(2)