Batao Kya Kare Zainab

- Syed Razi Haider (2013)


Batao kya Kare Zainab (sa)

Mere hamraah Qaasim (as) aur hamshakle payamber the,
Mai wo zainab (sa) hun jis zainab (sa) k at'thaara biraadar the,
Magar jab karbala se aayi tho bin bhayi hai quahar.
Batao Kya Kare Zainab (sa)

Kahun kaise musalsal gham uthana kitna mushkil hai,
Jahan mai hun wahan aansu bahana kitna mushkil hai,
Mai aayi hun bhare ghar ke ujadne ki qabar lekar.
Batao Kya Kare Zainab (sa)

Hui hai qaid jis din se bade dukh paayi zainab (sa),
Namazen bhi khade hokar nahi padh paayi hai zainab (sa),
Naqaahath se ye mumkin tha ke gir padhti musalle par.
Batao Kya Kare Zainab (sa)

Karun iz'haar gham kyun kar zaban meri larazti hai,
Azeeyath ki kahani pusht ke zaqmon par likhhi hai,
Hain abtak taaziyano ke nishane pusht ke upar.

Sitam ke qaid me maatam ki mohlath hi kahan di hai,
Badi mushkil se mai ne bhaayi ki majlis bapa ki hai,
Haram ke naam thi paabandiyan aansu bahane par.
Batao Kya Kare Zainab (sa)

Teri qaatir quda ke deen fidyaan hogayi zainab (sa),
Ghamon ke beech ek din me zayifa hogayi zainab (sa),
Chala hai saath mere har qadam se sadmon ka lashkar.
Batao Kya Kare Zainab (sa)

Zamee par be kafan laashe toh ser naizon par nikhle hien,
Ye saare ghamzada manzar mere aankhon se guzre hien,
Inhi aankhon ne dekha hai gale pe bhaayi ka qanjar.
Batao Kya Kare Zainab (sa)