Ek Zaakir Shaam pahuncha
- Syed Razi Haider (2013)
Ek Zaakir Shaam pahuncha
Ek zakir shaam pahuncha, dilme lekar ye qayal, daik kar bazaar aur darbaar puchun ye sawal, Sar barehna jab thi Zainab (sa) bekafan Zehra (sa) ka laal, sarpe suraj chalraha tha jis ghadi chyunti ki chaal, Faaslaa bazaarse darbar tak tai jab kiya, waqt us mushkil safar me kitna bibi ko lagaa, marqade zainab (sa) pe pahuncha aur mujavir se kaha, ae mujavir marqade zainab (sa) ke mujko ye bata, Tay safar bazaarse darbaar tak mayne kiya, waqt mujhko is safar me channd saa'ath ka lagaa, Is Zaraase faasle ko quahare Shabbir (as) ne kithni saa'ath may kiya tay Zainab-e-Dilgeer ne,
Rodiya, rodiya sunkar mujavir ye sawal aur ye kaha, zakir-e-Shabbir (as) hai tu sunne ka tujme hausla, Toone tay ye faasla jo channd saa'ath may kiya, ye safar Zainab (sa) ka sadiyon ke barabar hogaya, Tees ghanthon may yahan tak pahunchi binte Fathima (sa), girdh the laakhon tamashayi Hazaron ashqiya, aur meri behno ye ghadi hai kis qadar ehsaas ki, thi behen Abbas(as) ki nazre Awaamun naas ki, Beridaayi Bay ghadi aur uspe shiddath pyaaski, kehti thi miljaaye chaadar parchame Abbas(as) ki, Saa'athe shaame ghariban yaad wo Abbas (as) ki, jab na tha koi bhi waaris maa siwaye bekasi, ghamzada ke haath may ek chaube qaima aagayi, bangayi zainab (sa) Ali (as), Abbas (as) bhi Shabbir (as) bhi, Sehme bachchon ke liye, binte Ali (as) thi pehradaar, sabko dayti thi tasalli qud magar thi ashk baar, Naagahaan dekha chala aata hai jaise ek sawaar, thaamli baaghe faras bibi ne hoke beqarar, boli ab kya lootne aaya hai sabkuch lutgaya, jalgaya asbaab saara, bhayi mera margaya, laut ja dayti hun tujhko Mustafa (saw) ka waasta, mai nabi zaadi hun mai Zainab (sa) hun binte Syedda (sa), Mustafa (saw) ka naam sunkar hogaya wo beqaar, daalkar baahen gale may hoke bola ashkbaar, mai tera baba Ali (as) mushkil kusha hun gham gusar, ab tu qaime me chalija mai banuga pehre daar, Are baap ko dekhe tho ghamse aur seena phatgaya, gajlaye Aansu jo tha aaqir ko beqaabu hua, boli Zainab(sa) Murtuza (as) se karke ye aaho buka, Katgayaa.. Katgayaa.. Katgaya kunba mera baba chhini meri rida, Akbaro (as) Asghar (as) sidhare Qasim-o-Abbas (as) bhi, chalgayi Shabbir (as) ke halqum pe baba churi, mai dare qaima pe baba haath malthi rehgayi, Sogayaa.. Sogayaa.. Sogaya darya kinare jaake Abbas-e-Jari.
Hamko ae Rehan qismath se sharaf kaisa mila, Rozae Abbas (as) ke saaye me ye Nauha likha, Rozae shabbier (as) par jaakar jo Sarwar ne padha, Yunlagaa.. yunlagaa.. yunlaga kul Anbiyaa hien shaamile ehlay azaa