Jo Kare Salam

- Syed Razi Haider (2013)


Jo Kare Salam
Jo kare salam basad adab Sheh tashnalab ki janab me,
Toh Ba roze hashr ajab nahi ke rawan ho Sheh ki rakaab me. 
Jo kare salam..

Jo shameem boo-e-Hussain (as) hai, Wo araq me Sheh ki hai boo-e-khush,
Na wo boo hai ambar-o-mishq me, Na wo boo hai itr-o-gulab me.
Jo kare salam..

Shab-e-qatl chaunk ke neend se ye pukari Zainab-e-dil hazeen,
Mujhe haaye Hussain (as) barehna ser nazar aayi Fatima (sa) khwaab me.
Jo kare salam..

Kabhi ser ke baalon se maa meri ye zameen jhaad ke kehti thi,
Na Rahe Khalash khaso khaar ki mere gul ke bistaro khwab me.
Jo kare salam..

Kabhi Paani laake chidakti thi ye sukhan tha lab pe ke soyega,
Gul-e-Bu-Turab ka dil ruba isi ban keg arm turab me.
Jo kare salam..

Jo nihal taza ho baagh me usay kaat’te nahi baaghban,
Ye ghazab hai Akbar-e-Naujawan hua qatl ain shabab me.
Jo kare salam..

Jo kiya sawal Imam ne ye namaz-e-zohr ka waqt hai,
Mujhe sajda karne do farz hai toh layeen ne bola jawab me.
Jo kare salam..

Na milegi fursate dam zadan na padhen Hussain (as) namaz ko,
Ke nahi qubool ye bandage teri aaj haq ki janab me.
Jo kare salam..

Kaha tab habeeb ne ae layeen ye Hussain (as) sibte Rasool (saw) hai,
Sharaf-o-Kamal Hussain (as) ka hai bayan Hadees-o-kitab me.
Jo kare salam..

Ajab ehle sham the be haya jinhe paas sharm zara na tha,
Sare paake Sibte Rasool (saw) ko gaye le ke bazme sharab me.
Jo kare salam..

Jo suno kalam-e-Fasih ko toh durood bhejo Rasool (saw) par,
Ye sila jo do ge salam ka toh shareek hoge sawab me.
Jo kare salam..

Jo kare salam basad adab Sheh tashnalab ki janab me,
Toh Ba roze hashr ajab nahi ke rawan ho Sheh ki rakaab me.