Kya Andhera hai Phupi

- Syed Razi Haider (2013)


Kya Andhera Hai Phupi

Qaid khane me Sakina (sa) ye bayan karti thi, Kya Andhera hai Phupi. 
Shamma mangwayie warna may nahi jeenay ki, Kya Andhera hai Phupi.

Apne seenay se lagalo mai tumhare sadqe;
Goad me le lo mujhe;
Dil dharakta hai mera khauf se tharrata hai ji.
Kya Andhera hai Phupi.

Kyun layeen qaid me laye hain mujhe kya maloom;
Haye baba mazloom;
Gaye maidan ko jis din se khabar meri na li.
Kya Andhera hai Phupi.

Baba aa jate to phir Shimr ko hota maloom;
Kaun hay ye masoom;
Kya samajh kar mujhe yun ghurkiyan deta hai shaqi.
Kya Andhera hai Phupi.

Aaj ki shab ko bhi kya baba nahi aayengay;
Mujh ko tarpayenge; 
Unke seene pe agar soti to neend aa jati.
Kya Andhera hai Phupi.

Baad mere jo yahan howe pidar ka aana;
Unse ye farmana;
Mar gayi ghut ke andheray me tumhari beti.
Kya Andhera hai Phupi.

Sabr karti hun magar ho nahi sakta mujhe se;
Yaanse lay chaliye mujhe;
Warna pachtao ge zinda na rahun gi mai kabhi.
Kya Andhera hai Phupi.
Pani lanay ko kahan rooth gaye mujh se chacha;
Aap hi sochain zara;
Hotay ammu to mai is tarha tamachay khati.
Kya Andhera hai Phupi