Salaam-e-Aaqir

- Syed Razi Haider (2013)


Salaam-e-Aaqir

Salam qaak nasheeno pah soghwaroun ka, 
Ghareeb dete hain pursa tumhare pyaroun ka.

Salam un pah jinhe sharm khaye jaati hai,
Khule saron pah aseeri ki qaak aati hai.

Salam un pah joh zehmat kashe salasil hai,
Museebaton me imaamat ki pehli manzil hai.

Salam bhejtey hain apni shahzadi par,
Ke jinko soump gaye marte waqt ghar Sarwar (as).

Musafirat ne jise bebasi yeh dikhlaayi,
Nisaar kar diye bachhe na bach saka bhayi.

Aseer hoke jise shaamiyon ke narghe me,
Hussainiyat hai sikhana Ali (as) ke lehje me.

Sakina bibi tumhare ghulam haazir hain,
Bujhe joh pyaas toh ashkon ke jaam haazir hain.

Yeh sin yeh hashr yeh sadme naye naye bibi,
Kahan pa baithi ho qaime toh jal gaye bibi.

Na is tarah koi kheti hari bhari ujde,
Tumhari maang bhi ujdi hai goadh bhi ujdi.

Pahaad raat badi der hai savere me,
Kahan ho shaame ghareeban ke ghup andhere mei.

Zameene garm yateemi ki saqtiyaan bibi,
Woh seena jis pah ke soti thi ab kahan bibi.

Janabe maadare besheer ko bhi sab ka salaam,
Ajeeb waqt hai kya dein tassaliyon ka payaam.

Abhi kaleje me ek aag si lagi hogi,
Abhi toh goadh ki garmi na kam huvi hogi.

Nahin andhere me kuch soojhta kahaan dhoondein,
Tumhara chand kahan chup gaya kahan dhoondein.

Nahin layeenon mein insaan koyi Quda hafiz,
Darinde aur yeh bewaarisi Quda hafiz.

Salam tum pah shaheedon ke bekafan laashon,
Salam tum pah Rasool-o-Batool ke pyaaro.

Bachein jo aglay baras hum hain aur yeh gham phir hai,
Jo chal basein toh yeh apna Salam-e-Aakhir hai.