Man mata ala hubbe aal mohammad, mata shahida
- Shadman Raza (2011)
- Man maata
Rahé hussaini par jo insaan chalta nahin, zinda reh kare phir woh insaan zinda nahin
Hubbé aalé Mohammad mein jo mar jaaé (x2)
Donon mar bhi jaaé agar to marta nahin
Man mata ala hubbe aalé mohammad, mata shahida (x3)
Aalé nabi ki ulfat mein logo, jo margaya woh marta nahin hai
Ay haqq ka wada, aur sachha wada, usko khuda khud rakhta hai zinda
Man mata ala hubbe aalé mohammad, mata shahida (x2)
Matam to hoga matam to hoga, har simt hoga har ghar mein hoga
Rozé azal sé, rozé abad tak, zehra sé hai yeh khaaliq ka wada
Man mata ala hubbe aalé mohammad, mata shahida (x2)
Hay karbala ki aawaaz payhum, apna hai rehbar ghazi ka parcham
Har maatmi ka, jazba to dekho, ghazi ka parcham girné na dégua
Man mata ala hubbe aalé mohammad, mata shahida (x2)
Muslim Habib-o-John aur Haabiss, Shabbir ké sab bé mislé naasir
Jab larté larté, maidan mein girté, sab ké labon par tha ék naara
Man mata ala hubbe aalé mohammad, mata shahida (x2)
Hayé woh Qassim hayé woh Asghar, Abbasé ghazi hayé woh Akbar
Ro ro ké dum par, hum jaan dengué, pura karengué hum apna wada
Man mata ala hubbe aalé mohammad, mata shahida (x2)
Jab bhi shahadat paata hai koyi, Shabbir usko aaté hein lé né
Ansoo baha kare, khud shaahé din ko, déta hai pursa karbobala ka
Man mata ala hubbe aalé mohammad, mata shahida (x2)
Hum ro né walé karbobala ké, karté nahin hai jaur-o-sitam sé
Gardane katraayi, baazu katraaé, lékin na chora gham karbala ka
Man mata ala hubbe aalé mohammad, mata shahida (x2)
Ay méri maaon ay méri behnon, gar na nahin tum daur-e-sitam sé
Sughra ké gham sé, Layla ké gham sé, par kare nahin koyi gham humara
Man mata ala hubbe aalé mohammad, mata shahida (x2)
Maajid yé likh kare sab ko bata do, ay Shadman tum sab ko sunaa do
Hum maatmi hai, shahé huda ké, mar kare bhi gham to rehté hai zinda
Man mata ala hubbe aalé mohammad, mata shahida (x2)