Ay Maa Bata

- Shadman Raza (2010)


  • Ay maa bata

guzre isi aza may hai sadiyon ke rath jagay
jee khol kar hussain ko hum ro nahi sakay
bachpan ka wo sawaal mujhe abhi yaad hai
daman ko aansuon se bigho-tay hai kis tarah
ay maa bata hussain ko rote hai kis tarha

tune aza ke farsh pe mujhko bitha diya
pani jo maanga maine to pani piladiya
aagosh may aza ka saleekha bata diya
godi may tune loriyan dekar sula diyaa
zindan ki zameen pe sote hai kis tarha
ay maa bata....

bachpan se humko tune hi zouqe aza diya
taboot ko saja diya farshe aza bicha
aansuon ko apni parchame ghazi se mas kiya
aagosh may utha ke dikha-di hai karbala
shaida aza e shah ke hote hai kis tarha
ay maa bata....

saaye may baap ke hai guzarti meri hayaat
hoti hai poore khwahishay ta hadde mumkenaat
sunte tho hai hum shaam ke zindan ke waqiyat
hum jaante nahi hai sakina ke mushkilat
kehte jinhe yateem wo hote hai kis tarha
ay maa bata....

haq pe lutayi saari kamayi hussain ne
qurban haq pe kar diya bhai hussain ne
deene khuda ki jaan bachayi hussain ne
kadyal jawan ki laash uthayi hussain ne
sare ghamo kodil may samote hai kis tarha
ay maa bata....

maqtal may kab tha fatema zehra ke dil ko chain
tha inteha-e-sabr pe zehra ka noore ain
laashe pe har shaheed ke roke rahe thay bain
asghar ki khabr khod ke rone lage hussain
ashkon se khoon ke aankh bhigote hai kis tarha
ay maa bata....

kurta jala huwa hai ye bachi ka haal hai
kano se khoon behta  hai daman sawaal hai
chehre ka saara rang tamachon se laal hai
khamoshiya aansuon se sakina nidhaal hai
noke mija pe ashq pirote hai kis tarha
ay maa bata....

zikre ghame hussain may izzat naseeb ho
haq baat sab se kehne ki jurrat naseeb ho
daman ko apne ashqe nadamath naseeb ho
hurr ki tarha hame bhi shahadat naseeb ho
isyan ke daag aaj bhi dhote hai kis tarha
ay maa bata....

ilmo amal may peshe nazar ho raza e rabb
roza namaz har ke faraiz ada ho sab
haq e imam ada ho ada ho namaze shab
maa aakhri jihad ko taiyar karde ab
nasir imam-e-asr ke hote hai kis taha
ay maa bata....

aao qamar bataun ke rone ka haq hai kya
jaari tha jaise ashke sakina ka silsila
jaise imam-e-asr ki aankhein hai karbala
rote hai aise jis tarha roti hai fatema
maa ne kaha hussain ko rote hai is tarha
ay maa bata....