Aal e Rassool par
- Shadman Raza (2010)
- Aal e Rassool par
Zainab o Kulsum hain majmae meh khar me
jiss tarha Aale Nabi be rida ho kar gayi
is tarha koi na hi be rida darbar me
Har janeb hai khaas o aam Zainab aur bazaar e Shaam
be maqna be chadar haay Fatema Zahra ke gulbaar
Nauha tha Aabid ke lab par Hay hay Zainab hay hay Shaam
Hay hay Zainab hay hay Shaam*4
Aale Rassol par yeh kaisa maqam aaya*2
Hay hay Zainab hay hay Shaam*2
Chadar nahi hai sar par baazar e Shaam aya
Aale Rassol par yeh kaisa maqam aaya
Hay hay... *2
Gayrat se sar jukae Saydaniyon ko le kar *2
Tauqe gara me jakra Chauta Imam aaya
Chadar nahin hai sar par baazar e Shaam aaya
Aale...
Hay hay.. *2
Sab Bibiyon ke pichhe gayrat se chhup rahi thi *2
Darbaar e Shaam me jab Zainab ka naam aaya
Chadar nahin hai sar par baazar e Shaam aaya
Aale...
Hay hay.. *2
Maa behne sar khule hain aur sar jukae Aabid *2
eik imtehan dene baazar e Shaam aaya
Chadar nahin hai sar par baazar e Shaam aaya
Aale...
Hay hay.. *2
Bazaar ashqyan me ashqe aza bahata *2
Durron pe durre khata mera Imam aaya
Chadar nahin hai sar par baazar e Shaam aaya
Aale...
Hay hay.. *2
Yaad aayi woh Sakina joh qayd hai musalsal *2
Jab samne hamare zindaan e Shaam aaya
Chadar nahin hai sar par baazar e Shaam aaya
Aale...
Hay hay.. *2
Qaysar ka nauha kehna aur Shadman ka parhna *2
Bakhsish ke sa aton me donon ke kaam aaya *2
Chadar nahin hai sar par baazar e Shaam aaya
Aale...
Hay hay.. *2