Sultaan an Nassira
- Shadman Raza (2010)
- Sultaan an Nassira
Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Ye wassila wo hai jisko nahi rad karta hai x2
Ya Ali kehte hi Allah madad karta hai
Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x3
Ai mere Maula mere pehle Imaam Ali Ali
Tumpe hazaron ho durud o salaam Ali Ali
Teri sanaa karta hun main subho sham
hai teri khidmat me ye tera ghulaam
Arsh talaq phul ki khushbuh gayi
bus yehi kehti hai tchaman ki kali
Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2
Tou hai Hussein ibne Ali ka pedar Ali Ali
Hai Hassan e Mujtaba tera Pissar Ali Ali
Aisa hai Abbas tera Shere narij janta teri tarah har hounar
Tegh jo maidaan me ouski tchali
Bus yehi har samt sadaa ghunjh outhi
Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2
Tujko sabhi kehte hain Mushkil Kusha Ali Ali
Rudda kusha kehte hain Khairul Wara Ali Ali
Sakht se bhi sakht huwa maar ka
Fath na Khaibar jo kissi se huwa
Bus ye sadaa deta tha mera Nabi
Jald tchale aao Khuda ke wali
Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2
Jino inso malako hour ka masjouud Ali
Qibla e ehle wila Qaba e maqsood Ali
Mazhare noor e Khuda qudrat e Mabood Ali
Ankh jab hone lagi bandh to maujood Ali
Zeest ke shehr me daakhil huwe marnaa kaisa x2
Jab hai baaleef-e-Ali maut se darna kaisa
Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2
Kuch inhe inke maraatib se sivah kehte hain
Kay nazar hai woh nussehri jo Khuda kehte hain
Yeh Wassila woh hai jiss ko nahi rad karta hai
Ya Ali kehte hi Allah madad karta hai
Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2
Jisko Khuda ne ye diya martabaa Ali Ali
Jisko sahaabaa ne bhi Maula kahaa
Jisko Wali kehti hai wahye Khuda
aal par ouski huwi kya kya jafaa
Karbobala me gayi aale Nabi
Dasht me har samt sadaa ghunj outhi
Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2
Sheh jab outhaane lague laashe javaan
Mann ki dil e Sheh pe ghiri bijliyaan
Zauf ke aalam me padar do fugha
Laash outhaane lague Shaahe zaman
Souu e Najaf dekh ke bole yehi
Ayi ye imdaad ko Baba Ali
Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2
Shaame ghariban jo ayaan ho gayi
Masnade sarkaar e do aalam jali
Zainab o Qulsoom ki haalat ye thi
Sar pe na maqna tha na tchaadar rahi
Pehr pe Ghaazi ki behen aa gayi
Roke ye kehti rahi Binte Ali
Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2
Beti jo deti thi Padar ko sadaa
Dekha ke ek naaqa sawaar aa gaya
Rukse naqaabat me oulath kar kaha
Beti na ro aa gaya baba tera
Baba ke tab sineh se Zainab lagui
Aur lipath kar yehi kehti rahi
Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2
Sab ko sunado yehi Maajid bayan
Tum bhi yehi nawha paro Shadman
Luth gaya jab fatéma ka gul sita
Hur ko baraabar hai bahanr aur khiza
Chahé khushi ho ké mussibat koyi
Hum to sadaa kehté rahengué yehi
Sultaan an Nassira Ali Ali Ya Ali x2