Mera Abbas [Asma]
- Shadman Raza (2009)
- Mera Abbas [Asma]
Ghururé fawdjé sitam ghar ko, tor sakta hun
Rukhé furat, nigahon sey mor sakta hun
Ali ka beta hun, mojiz numaion ki qassam
Mein aftaab sey paani nitsor sakta hun
Mera abass , Ghazi abass (4)
1. Maaniyé ruffaté Issaro vafa hai abass
Jazbaé hossala é Shehré Khuda hai Abass
Ruhé Ehsaas Rassoulé dosara hai Abass
Yaani Allah ké maqsad ki baqaa hai Abass
Rastaa rehbaré Islam ki ruqné na diya
Kath gaya hath alam din ka jukné na diya
Mera abass, Ghazi abass...
2. Mei jo ehjaz dikawun to yé naksha badlé
Arsh pei Fasl Ughé Farsh pei suraj niklé
Nehr sey Ghard urhé , sang sey tsachma phoothe
aag paani mey lagué aag sey paani nikley
ghur ké dekhun to toum sab bemamat ajaaé
Mere tuté huwé neyzé pei furat aajaé
mera abass, Ghazi abass..
3. Meri Talwaar sey Jibril key par Kampté hai
Meri hai bass sé sab ye jino bachar kampté hai
tumko kya cheez ho cheron key jigar kampté hai
Maut sey pehlé hi ajssam key sar kampté hai
Meyné talwar jo ek baar chalayi hoti
Sari dunya mein dohayi hi dohayi hoti
Mera Abass, Ghazi abass..
4.Jang siffen ka mahol dobara hojaé
Khétslun tegh to dunya mein savera hojayé
Alqamah ko jo mera ek ishara hojayé
Khayma é shah hi darya ka kanara hojaé
Khatm pyasson ki abhi tachnadahaani kardun
Mein agar tsahun paharon ko bhi paani kardun
Mera Abass, Ghazi abass..
5. Huré maqtal ko ek ungli pei natsha sakta hun
Tum jo marjao to thokar sey jila sakta hun
Aag behté huwé paani mein lagaa sakta hun
Tum ko ab ruh key ishaaré sey bhaga sakta hun
Hath kathné pei bhi larné sey mein maazour nahin
Hukmé Shabeer ka pabant hun majboor nahin
Mera Abass, Ghazi abass..
6.Han magar gardishé dohra ney yé manzar dekha
Kath gayé baazué abass saré rahé wafaa
Sar pei bhi gurz lagua ankh pei bhi tir laga
as bhi tut gayi mashk sey paani jo baha
Ho salam aap pei aka yé pukaré Abass
Nehr sey jaané bhi firdos sidharé abass
Mera Abass, Ghazi abass...
7.Jab suna nehr pei sakaé haram mara gaya
Girgayi bibyon key sar sey ye sunté hi rida
Bibi zaynab ki sada aaney lagui vavéla
Ghir gaya dasté Sakina sey zamain par Kuza
Boli yé ro key mujé as nahin hai ammu
jald ajao key ab pyass nahin hai ammu
Mera Abass, Ghazi abass...
8. Rokey Shabeer pukarey mere Bhayya Abass
Mere ghamkhar mere ashiko sheda Abass
Moujko paani to pilaado mein hun pyassa abass
Mein Ghira jaata hun do mujko sahara abass
Khaymaé Fatema Zehra key sipar tut gayi
Hath bhayi key kathé meri kamar tut gayi...