Mere Baba ke Zuljanah

- Shadman Raza (2009)


  • Mere Baba ke Zuljanah

Zuljanah e Shahe waala bhi bouka karta raha
Ouske bhi teer lage bagh kati zin thala.
Aise aalam me souye khaima e Shabbir tsala
Dekh kar ousko Sakina bhi fougha karne lagui
Haay bagh ghore ki pakar kar ye bayan karne lagui

Mere baba x2
Mere baba ke Zuljana x 4

Kya meri yateemi ki tou laya hai khabar
Mere baba ke Zuljana x 4

Kar yad ke samjhaya tha toumhe dame rukhsat
Khajae gi iss dil ko mere baba ki furqat
Mere baba ke Zuljana 
Main roti rahi aur kiya tou ne safar

Mere baba ke Zuljana x 4

Kehte the toujhe baba mere asbe Wafadaar
Yeh kaisi wafa toune dikhayi mere gham khaar
Mere baba ke Zuljana 
Tchor aaya ounhe dasht e bala me kyun kar

Mere baba ke Zuljana x 4

Yeh dekh mere baalon me hai khaak e yateemi
Ab seene pe har saans bhi dushvaar hai meri
Mere baba ke Zuljana 
Ankhon me meri dekh zara gham ka assar
Mere baba ke Zuljana x 4

Main roti rahi aur tujhe tars na aaya
Le dekh mere sar se outha baap ka saayaa
Mere baba ke Zuljana 
Sine pe mujhe kaun soulaae ga magar

Mere baba ke Zuljana x 4

Ye khaaq e bayabaan bani mera muqaddar
Ab tchhin ke le jaaenge bunde ye sitamghar
Mere baba ke Zuljana 
Hai daaghe yateemi hi Assiri ki khabar

Mere baba ke Zuljana x 4

Iss khaaq ke bistar pe mujhe sauna parhe ga
Kya neend mujhe aegui tune nahi sotchha
Mere baba ke Zuljana 
Jaagun gui shab o rauz yehi keh keh kar

Mere baba ke Zuljana x 4

Haan tchadaren tchhine ge laeen khaime jhala kar
Ammu ko bulaoun gi kabhi baba ko rokar
Mere baba ke Zuljana 
Tchhinen ge oudou jab mere kaanon se gohar

Mere baba ke Zuljana x 4

Ai shadman mazhar bhi likhe kaise who manzar
Dam tora kalam ne bhi isi baat ko likh kar
Mere baba ke Zuljana 
Baba jo nahin hai to jeeyun main kyun kar

Mere baba ke Zuljana x 4