Ye ghazi alamdar
- Irfan Haider (2003)
Ye ghazi alamdar
Jab karwaan karbobala lot ke ayaa. Kulsum ne mehmil ke jo parde ko hataaya. (Dil thaam ke ye kafle waalo ko bataayaa) x2
(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x3
- (Farshe azaa shabbir ke matam ka bichaawo) x2
- Jis sher ke shano pe hame naaz tha har dam. Bacho ke liye aas tha jis sher ka parcham (Parcham mere abbas ka is ban me sajawo) x2
- Awaaz dekar dashte mein baba ko bulawo. Bhabhi kaha ho matame akbar kare awo (Majlis ke liye fatema zehra ko sadaa do) x2
- Un bekaso pe rona jinhe pyaas ne mara. Wo aun-o-muhammad bhi hai shabbir pe wara (Un bekaso ki pyaas bhi ashko se bujaado) x2
- Hai sab hi shahadat se dhani haq ke musafir. Wo awsaja wo john o habib ibn mazahir (Chehlum har ik mazloom ka karbal me manawo) x2
- Wo saamne dekho to hai behta huwa darya. Lekin labe darya nahi ab foj ka pehra (Jee khol ke ab pani piyo sab ko pilawo) x2
- Ham aagaye zindaan se magar qayd hai dukhtar. Ammu ko bulati rahi din rat jo ro kar (Zindaan se masoom sakina ko bulawo) x2
- Sab aurte bazaare jafaa me rahi purgham. Bechadere ke karb se karti rahi matam (Behaal hai sab unse kaho sar ko chupaawo) x2
- Hai dhoop ke maidan me mere be zubaan asghar. Saye me nahi jaa saki is dard se madar (Ik sayeba ab turbate asghar pe banawo) x2
- Farwa kahaa hai unse kaho aaj to paiham. Jee bharke karo qasime dilgir ka matam (Ik raat ke noshaah ki dulhan ko bataa do) x2
- Sar pite ke rote hai sare markade shabbir. Sajjad hai nawha kuna or zainabe dilgir (Dil khol ke rone do inhe chup na karawo) x2
(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2
(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2
(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2
(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2
(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2
(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2
(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2
(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2
(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2
(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2
(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2