Parda Gaib Se
- Waseem Rizvi (2007)
Parda e gaib se aa rahi hai sada
Zikre Shabbir ko fatwon se dabane waale
Kitne naadan hai suraj ko chupaane waale
Gaib se aati hai ab bhi ye sada e qaim
Matam e sheh na ruke x2
Hum hai bachaane waale
Parda e gaib se aa rahi hai sada
Mere shiyon mein hu hujat e kibriya
Daur e akhir hai hushiyaar rehna zara
Dekho chute naa damaan e karbobala x2
1 Khoon rota hu mai jadde mazloom par
Tum bhi apne lahoo ko bahate raho x2
Meri akhon se rukte nahi ashke gum
Phool ashkon ke tum bhi chadaate raho x2
Parda e gaib se aa rahi hai sada
Mere shiyon mein hu hujat e kibriya
Daur e akhir hai hushiyaar rehna zara
Dekho chute naa damaan e karbobala
2 Unki paakiza aakhon ko mera salam
Jinki ankhon me hai shahewala maki x2
Haa magar dushmanane aza se bacho
Tumko mujse juda kar na de wo kahi x2
Parda e gaib se
3 Tum me shamil hai kuch munkirane alam
Kadro keemat nahi jinko ehsaas ki x2
Dekho haato se choote na parcham kabhi
Mai kasam tum ko deta hu Abbas ki x2
Parda e gaib se
4 Jinko parcham ki taadaad khalne lage
Ye samajna alam se use bair hai x2
Yaa maafi talafi dikhawaa hai ye
lakh apne me ho phir bhi wo gair hai x2
Parda e gaib se
5 Bech khaenge imaa azadaron ke
Taajraane muharram bohot ho gae x2
Meri khawish ke har ghar se uthe alam
Wo ye kehte hai parcham bohot ho gae x2
Parda e gaib se
6 Wo k jinke lahoo me hai aaloodgi
Baaz aate nahi saazishi fikra se x2
Munkiraane aza tum ne socha kabhi
Tum ko izzat mili hai isi zikr se x2
Parda e gaib se
7 Wo khilaf e wilayat lage bolne
Khoon me jinke shaamil hai sehme imaam x2
Kal yahi nosh kare aur pale aur bade
Ab tabarukh unhe lag raha hai haram x2
Parda e gaib se
8 Sunlo ey dushmanane aza e Hussain
Tumko pehnaaongaa zilaton ka kafan x2
Mai muhaze aza ka alamdaar hu
Hai meri fauj har maatami anjuman x2
Parda e gaib se
9 Patharon ka kaleja bhi phat jaaega
Wo masahib sunaaonga dilsoz mai x2
Wo jo jukte nahi hai alam dekh kar
Gardane unki naapunga ek roz mai x2
Parda e gaib se
10 Aaonga zulfikare Ali leke jab
Phir ye dekhenge hai kiske fatwe me dum x2
Mere sine me hai josh Abbas ka
Mere kandhe pe hoga usika alam x2
Parda e gaib se
11 Ek ek fitnagar meri nazron me hai
Khaq me unke fitne milaaonga mai x2
Mere shiyon na mayoos hona kabhi
Jab bhi muj ko pukaronge aaonga mai x2
Parda e gaib se
12 Kal sataya gaya jadde mazloom ko
Aaaj humle hai unke azadaaron par x2
Wo rahenge amaame me hee har ghadi
Ye karam hai mera sheh ke gum khaaron par x2
Parda e gaib se
13 Zindabad aisi maaon ko kehta hu mai
Paalti hai jo bache wilaa ke lie x2
Apne maqsad pe rakhna hai tumko nazar
Tum to paida hue ho aza ke lie x2
Parda e gaib se
14 Khoon rote hai pathar falak aur sajar
Khoo nahi unme phir bhi lootaae lahu x2
Hum to aulad e Adam hai insaan hai
Gum mein sheh ke na phir kyo bahae lahoo x2
Parda e gaib se
15 Dil me kitni mohabbat hai Shabbir se
Uska izhar matam hai zanjeer kaa x2
Mazhabe haq pe ho karbala ke tofel
Khoon ka ek ek katra hai Shabbir ka x2
Parda e gaib se
16 Kya tumhe mai bataaon Gam e shah mein
Shehzadi abhi tak hai giryakuna x2
Khoon aakhon se meri na kaise bahe
Meri dadi abhi tak hai giryakuna x2
Parda e gaib se
17 Jo zami par na tha zeen par bhi na tha
Jism uska tha teeron pe rakha hua x2
Haa usi jadde mazloom ki yaad me
Khoon akhon se meri hai behtaa hua x2
Parda e gaib se
18 Bus ye maango dua hukm de de Khuda
Karbala me chadaenge apna lahu x2
Mujko aa jaane do parda e gaib se
Saath milkar bahaenge apna lahu x2
Parda e gaib se
19 Wo alam ho ke taaboot ya zuljana
Taziya ho amari ho ya ho sabeel x2
Sab ke sab mohataram sab ka hai ehtaraam
Muftiyon ko bata do bus itna Fasil x2
Parda e gaib se