Teron Ke Musala Par

- syed zulfiqar haider zaidi (2011)


Teeron ke musalle par wo sajdaye shukrana
Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa

1 Ek teer Ali Asgar ki garden pe laga aakar x2
Masoom ka has dena aur maut ka ghabrana
Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa

2 Kuch is tarah laash aayi ek raat ke byahe ki x2
Afsos ke maadar ne bete ko na pehchana
Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa

3 Socho to Musalmano ye baat koi kum hai x2
Ahamed ki nawasi ka darbar me aa jana
Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa

4 Haider ke shuja?at ka andaaz nazar aaya x2
Wo sham-e-garibaa me Zainab ka naa ghabrana
Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa

5 Maula ki wasiyat thi Abbas Dilawar ko
Talwar nahi khechi Aqa ka kahaa mana
Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa

6 Nasir ka ye dava hai banta hai Husain ayse
Saache me Imamat ke Quran ka dhal aana
Shabbir ne batlaya Islam pe mar jaanaa