Aram Kahan Hai

- Nasir Zaidi (1990)


Aram kaha hai hai
Aram kaha x2
dashte aalam me zainab ko bhala
Aram kaha x2

1 Katle shabbir bhi abbas bhi akbar bhi hoey
Kat gaye aun-o-muhammed ke bhi maktal mei gale
Lasha-e-ibne hasan ho gaya pamale jafa
Aram kaha x2
Dashte aalam me zainab ko bhala
Aram kaha x2

2 Teer jab asgher-e-masom ki gardn pe laga
Deti thi khaime ke dar par khadi banu yeh sada
Bin tere chain mile kese mere mahe laka
Aram kaha x2
Dashte aalam me zainab ko bhala
Aram kaha x2

3 Chid gayi mashke sakina labe darya asfsooz
Be kafn khak pe hai sher ka laasha afsooz
Pyaase bachchu ko koi chahne wala naa raha 
Aram kaha x2
Dashte aalam me zainab ko bhala
Aram kaha x2

4 Chin gayi sar se rida jal gaya asbaab tamaam
Bade shabbir numudar huwi kesi yeh shaam
Khun kanu se baha bachchi ka damn bhi jala
Aram kaha x2
Dashte aalam me zainab ko bhala
Aram kaha x2

5 Sar shahido ke sa re nauke sina kaid-e-haram
Ek do ka nahi sine mei bahattar ka hai gham
Bediya pehne hoey lagaro bimar chala
Aram kaha x2
Dashte aalam me zainab ko bhala
Aram kaha x2

6 Ro ro kehti thi sakina mere ammu aao
Mujko mare na layi aake inhe samjaao 
Kyo nahi sunte ho deti ho tumhe kabse sada
Aram kaha x2
Dashte aalam me zainab ko bhala
Aram kaha x2

7 Kafela jaata hai aab shaam ke bazaaro mei
Chalte hai ahle haram zulm ke angaro mei
Har kadam hoti hai bimar par ek taza jafa 
Aram kaha x2
Dashte aalam me zainab ko bhala
Aram kaha x2

8 Bacche jo khak pe girte hai kuchal jate hai
Gam se dil maa-o-ke sine senikal jaate hai
Koi sunta nahi bewa-o-ki faryad-o-fuga
Aram kaha x2
Dashte aalam me zainab ko bhala
Aram kaha x2